apne hone ka jab nasha bhi nahin
apne hone kā jab nasha bhī nahīñ
phir to jiine kā kuchh maza bhī nahīñ
ek be-chehragī kā mātam hai
aur hāthoñ meñ aa.ina bhī nahīñ
kuchh na hone meñ bhī bahut kuchh hai
kuchh na hotā to sochtā bhī nahīñ
aise soyā huā hai sannāTā
jaise ab shahr meñ ḳhudā bhī nahīñ
ye bhī mumkin nahīñ bichhaḌ jaa.eñ
dūsrā koī rāsta bhī nahīñ
'āshiqī meñ kamāl karnā hai
'ishq kā koī tajraba bhī nahīñ
apne hone ka jab nasha bhi nahin
phir to jine ka kuchh maza bhi nahin
ek be-chehragi ka matam hai
aur hathon mein aaina bhi nahin
kuchh na hone mein bhi bahut kuchh hai
kuchh na hota to sochta bhi nahin
aise soya hua hai sannaTa
jaise ab shahr mein KHuda bhi nahin
ye bhi mumkin nahin bichhaD jaen
dusra koi rasta bhi nahin
'ashiqi mein kamal karna hai
'ishq ka koi tajraba bhi nahin
- Book : Ishq (Pg. 50)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.