apne jazbaat se juda hona
apne jazbāt se judā honā
kitnā āsān hai ḳhudā honā
saḳht mushkil thā ḳhāna-e-dil meñ
merī har saañs kā sadā honā
aaj ham ḳhud se duur ho baiThe
tujh se mumkin na thā judā honā
andar andar bharā huā hai zahr
dil dhḌaknā hai dil-zada honā
merī lahreñ ḳhilāf haiñ mujh se
aaj mushkil hai nāḳhudā honā
apne jazbaat se juda hona
kitna aasan hai KHuda hona
saKHt mushkil tha KHana-e-dil mein
meri har sans ka sada hona
aaj hum KHud se dur ho baiThe
tujh se mumkin na tha juda hona
andar andar bhara hua hai zahr
dil dhDakna hai dil-zada hona
meri lahren KHilaf hain mujh se
aaj mushkil hai naKHuda hona
- Book : Ishq (Pg. 102)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.