badan ka tafsili jaeza ghum kar liya hai
badan kā tafsīlī jā.eza ghuum kar liyā hai
'ilāqa āfat-zada hai mā'lūm kar liyā hai
koī latīfa thā jis meñ yāroñ kā zikr aayā
use hañsānā thā ḳhud ko maġhmūm kar liyā hai
maiñ ḳhush huuñ ab naam hogā fehrist-e-ahl-e-ġham meñ
jabhī bichhaḌne kā faisla jhuum kar liyā hai
sanad rahe taaki aur zarūrat ke vaqt kaam aa.e
tamām-tar iztirāb manzūm kar liyā hai
ye kaun shauqīn hai ḳhalā ke mushāhide kā
mirī taraf kis ne camera zoom kar liyā hai
badan meñ sirf ek kī jagah thī so maiñ ne ḳhud ko
tumhārī maujūdgī meñ mā'dūm kar liyā hai
zabān sī lau nikāl kar muñh chiḌhā rahā thā
havā ne badla charāġh ko chuum kar liyā hai
badan ka tafsili jaeza ghum kar liya hai
'ilaqa aafat-zada hai ma'lum kar liya hai
koi latifa tha jis mein yaron ka zikr aaya
use hansana tha KHud ko maghmum kar liya hai
main KHush hun ab nam hoga fehrist-e-ahl-e-gham mein
jabhi bichhaDne ka faisla jhum kar liya hai
sanad rahe taki aur zarurat ke waqt kaam aae
tamam-tar iztirab manzum kar liya hai
ye kaun shauqin hai KHala ke mushahide ka
meri taraf kis ne camera zoom kar liya hai
badan mein sirf ek ki jagah thi so main ne KHud ko
tumhaari maujudgi mein ma'dum kar liya hai
zaban si lau nikal kar munh chiDha raha tha
hawa ne badla charagh ko chum kar liya hai
- Book : Aakhiri Tasveer (Pg. 88)
- Author : Umair Nazmi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.