baDon mein baiThte uThte to chaalaki bhi aa jati
baḌoñ meñ baiThte uThte to chālākī bhī aa jaatī
hameñ dariyāoñ kī sohbat meñ tairākī bhī aa jaatī
ba-āsānī hamāre sar se Takrāte na yuuñ patthar
zamāne kī tarah ham meñ jo saffākī bhī aa jaatī
maiñ 'arz-e-hāl se mahrūm rahne kā na dukh sahtā
agar tarz-e-suḳhan ke saath bebākī bhī aa jaatī
vo merī dhaḌkanoñ kā karb agar mahsūs kar letā
mirī āñkhoñ meñ us ke ġham kī namnākī bhī aa jaatī
sabaq sīkhā na kuchh bhī Dhāñk ke pattoñ se fashion ne
vagarna qīmtī kapḌoñ ko poshākī bhī aa jaatī
ḳhulūs-e-dil se tauba kar ke chhuT jaate 'azāboñ se
gunah ashkoñ se dhul jaate to phir paakī bhī aa jaatī
mirā she'rī 'amal iḳhlās ke hāthoñ meñ hai varna
'vasīm' alfāz-o-mā'nī meñ ḳhatarnākī bhī aa jaatī
baDon mein baiThte uThte to chaalaki bhi aa jati
hamein dariyaon ki sohbat mein tairaki bhi aa jati
ba-asani hamare sar se Takraate na yun patthar
zamane ki tarah hum mein jo saffaki bhi aa jati
main 'arz-e-haal se mahrum rahne ka na dukh sahta
agar tarz-e-suKHan ke sath bebaki bhi aa jati
wo meri dhaDkanon ka karb agar mahsus kar leta
meri aankhon mein us ke gham ki namnaki bhi aa jati
sabaq sikha na kuchh bhi Dhank ke patton se fashion ne
wagarna qimti kapDon ko poshaki bhi aa jati
KHulus-e-dil se tauba kar ke chhuT jate 'azabon se
gunah ashkon se dhul jate to phir paki bhi aa jati
mera she'ri 'amal iKHlas ke hathon mein hai warna
'wasim' alfaz-o-ma'ni mein KHatarnaki bhi aa jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.