Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-e-afsurda kisi gam Thahar jaega

Aseem Ahmad Abbasi

dil-e-afsurda kisi gam Thahar jaega

Aseem Ahmad Abbasi

MORE BYAseem Ahmad Abbasi

    dil-e-afsurda kisī gaam Thahar jā.egā

    vo bhī kuchh roz meñ ro-dho ke sañvar jā.egā

    laakh shiddat sahī sadme magar yuuñ hai ki

    aadmī vaqt ke hamrāh guzar jā.egā

    ibtidā ho ho anjām safar yaaro

    rāsta jis bhī taraf jā.egā muḌ jā.egā

    rail chīḳhegī tujhe raat jo le jaate hue

    gaañv baat kyā dil bhī sihar jā.egā

    zindagī ye safar laakh hai dil-jū lekin

    jo musāfir hai kisī roz to ghar jā.egā

    aur batlā.eñ kyā jiine sabab ham apne

    phuul ḳhush-bū ko bikheregā bikhar jā.egā

    dil-e-afsurda kisi gam Thahar jaega

    wo bhi kuchh roz mein ro-dho ke sanwar jaega

    lakh shiddat sahi sadme ki magar yun hai ki

    aadmi waqt ke hamrah guzar jaega

    ibtida ho ya ho anjam safar ka yaro

    rasta jis bhi taraf jaega muD jaega

    rail chiKHegi tujhe raat jo le jate hue

    ganw ki baat hi kya dil bhi sihar jaega

    zindagi ka ye safar lakh hai dil-ju lekin

    jo musafir hai kisi roz to ghar jaega

    aur batlaen kya jine ka sabab hum apne

    phul KHush-bu ko bikherega bikhar jaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now