Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek barsat mein maidan samundar hoga

Dinesh Kumar Drouna

ek barsat mein maidan samundar hoga

Dinesh Kumar Drouna

MORE BYDinesh Kumar Drouna

    ek barsāt meñ maidān samundar hogā

    dard sochā nahīñ thā soch se baḌh kar hogā

    vo jo aa.egā mire paas masīhā ban kar

    us ke hāthoñ meñ mire naam ḳhanjar hogā

    tez chalne se hai maqsūd ravānī sun lo

    thak ke jo baiTh gayā miil patthar hogā

    laakh lete raho hāthoñ talāshī mere

    jo bhī andar hai mire zehn ke andar hogā

    surḳh āñkhoñ kahāñ rañg huā kartā hai

    ḳhuun meñ lipTe hue ḳhvāb manzar hogā

    jo girā degā mujhe taash ke pattoñ tarah

    merī ta.amīr meñ tujh koī patthar hogā

    ek barsat mein maidan samundar hoga

    dard socha nahin tha soch se baDh kar hoga

    wo jo aaega mere pas masiha ban kar

    us ke hathon mein mere nam ka KHanjar hoga

    tez chalne se hai maqsud rawani sun lo

    thak ke jo baiTh gaya mil ka patthar hoga

    lakh lete raho hathon ki talashi mere

    jo bhi andar hai mere zehn ke andar hoga

    surKH aankhon ka kahan rang hua karta hai

    KHun mein lipTe hue KHwab ka manzar hoga

    jo gira dega mujhe tash ke patton ki tarah

    meri tamir mein tujh sa koi patthar hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now