ek mulaqat ka bas tum se bahana chaha
ik mulāqāt kā bas tum se bahānā chāhā
ham ne kab apne liye saarā zamāna chāhā
tum ne jo zaḳhm diye ham ko bataur-e-tohfa
chādar-e-ashk meñ har ġham ko chhupānā chāhā
maiñ ne kab māñgī hukūmat yā koī taḳht yā taaj
zindagānī meñ faqat saath tumhārā chāhā
tum ne dāman ko pakaḌ kar mujhe rokā har dam
maiñ ne jab jab bhī mohabbat se kinārā chāhā
ek mulaqat ka bas tum se bahana chaha
hum ne kab apne liye sara zamana chaha
tum ne jo zaKHm diye hum ko bataur-e-tohfa
chadar-e-ashk mein har gham ko chhupana chaha
main ne kab mangi hukumat ya koi taKHt ya taj
zindagani mein faqat sath tumhaara chaha
tum ne daman ko pakaD kar mujhe roka har dam
main ne jab jab bhi mohabbat se kinara chaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.