Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

isi bhanwar mein rahunga to par paunga

Sunil Aftab

isi bhanwar mein rahunga to par paunga

Sunil Aftab

MORE BYSunil Aftab

    isī bhañvar meñ rahūñgā to paar pā.ūñgā

    agar kināre pe aayā to Duub jā.ūñgā

    maiñ adh-khilā huuñ abhī to simaT bhī saktā huuñ

    gar apne rang meñ aayā to phail jā.ūñgā

    nazar milā ke vo be-chehra kar gayā mujh ko

    ab aa.ine meñ kahāñ ḳhud ko dekh pā.ūñgā

    mirā qayām kahīñ par mirā maqām kahīñ

    zarā der maiñ Thahrūñgā lauT jā.ūñgā

    maiñ apnī ḳhaak se ījād ho gayā to phir

    maiñ apne vāste sahrā bhī ḳhud banā.ūñgā

    kisī daraḳht se kar lūñgā apnā dukh sājhā

    kisī daraḳht ke saa.e meñ baiTh jā.ūñgā

    isi bhanwar mein rahunga to par paunga

    agar kinare pe aaya to Dub jaunga

    main adh-khila hun abhi to simaT bhi sakta hun

    gar apne rang mein aaya to phail jaunga

    nazar mila ke wo be-chehra kar gaya mujh ko

    ab aaine mein kahan KHud ko dekh paunga

    mera qayam kahin par mera maqam kahin

    zara si der main Thahrunga lauT jaunga

    main apni KHak se ijad ho gaya to phir

    main apne waste sahra bhi KHud banaunga

    kisi daraKHt se kar lunga apna dukh sajha

    kisi daraKHt ke sae mein baiTh jaunga

    Source :
    • Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 96)
    • Author : Sunil Aftab
    • Publication : Rekhta Publications (2024)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now