partaw-e-akkas tha wo main na tha
partav-e-'akkās thā vo maiñ na thā
ā.inoñ ko raas thā vo maiñ na thā
merī parchhā.īñ jise samjhe the log
koī mere paas thā vo maiñ na thā
jo supurd-e-ḳhāk kar aa.e ho tum
haDDiyāñ thiiñ maas thā vo maiñ na thā
kahkashāñ par jis ke naqsh-e-pā mile
vo mirā ehsās thā vo maiñ na thā
kho gayā huuñ apne qisse meñ kahīñ
zīnat-e-qirtās thā vo maiñ na thā
pā-barahna zindagī kī rah pe huuñ
sāhib-e-afrās thā vo maiñ na thā
partaw-e-'akkas tha wo main na tha
aainon ko ras tha wo main na tha
meri parchhain jise samjhe the log
koi mere pas tha wo main na tha
jo supurd-e-KHak kar aae ho tum
haDDiyan thin mas tha wo main na tha
kahkashan par jis ke naqsh-e-pa mile
wo mera ehsas tha wo main na tha
kho gaya hun apne qisse mein kahin
zinat-e-qirtas tha wo main na tha
pa-barahna zindagi ki rah pe hun
sahib-e-afras tha wo main na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.