qafiye ki band galiyon ka gadagar kar diya
qāfiye kī band galiyoñ kā gadāgar kar diyā
us ne kaise kaam par mujh ko muqarrar kar diyā
ham ka.ī the aur hamāre rāste bhī the ka.ī
vo akelā thā so us ne mā'raka sar kar diyā
jis ne chorī kī thī sau pachchās par chhoḌā use
jo saḌak par jā rahā thā us ko andar kar diyā
chhat zamīñ par aa rahī nāzuk the shahtīr is qadar
gir paḌī dīvār bhī aisā palastar kar diyā
raushnī ab raah se bhaTkā bhī detī hai miyāñ
us kī āñkhoñ kī chamak ne mujh ko be-ghar kar diyā
jhūTh-mūTh āḳhir gale mil kar ba-zo'm-e-ḳhud 'zafar'
aglā pichhlā sab hisāb us ne barābar kar diyā
qafiye ki band galiyon ka gadagar kar diya
us ne kaise kaam par mujh ko muqarrar kar diya
hum kai the aur hamare raste bhi the kai
wo akela tha so us ne ma'raka sar kar diya
jis ne chori ki thi sau pachchas par chhoDa use
jo saDak par ja raha tha us ko andar kar diya
chhat zamin par aa rahi nazuk the shahtir is qadar
gir paDi diwar bhi aisa palastar kar diya
raushni ab rah se bhaTka bhi deti hai miyan
us ki aankhon ki chamak ne mujh ko be-ghar kar diya
jhuTh-muTh aaKHir gale mil kar ba-zo'm-e-KHud 'zafar'
agla pichhla sab hisab us ne barabar kar diya
- Book : Ghazal Ka Shor (Pg. 189)
- Author : Zafar Iqbal
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.