roz roz ye lambi tan ke sona aur na hona
roz roz ye lambī taan ke sonā aur na honā
kab kā huā barābar apnā honā aur na honā
ek hī vaqt meñ donoñ bāteñ kyūñ-kar ho saktī haiñ
yā'nī shaam kināre baiTh ke ronā aur na honā
sab kā DhūñDhte rahnā vo be-sūd yahīñ har jānib
apne aap ko isī bhiiḌ meñ khonā aur na honā
jaise do rangoñ kā milnā aur miT jaanā mil kar
hone ko kisī an-hone meñ samonā aur na honā
mail kī sūrat rahnā apne pahne hue kapḌoñ meñ
aur phir un ko kahīñ utaar ke dhonā aur na honā
shaam aur shahr ke saath hī dhund meñ gum ho jaanā aksar
us kī diid se āñkheñ roz bhigonā aur na honā
bik jaanā bāzār-e-ḳhayāl meñ puurī qīmat le kar
sochte jaanā us ke jism kā sonā aur na honā
ruk jaanā lahroñ kā saarā shor 'zafar' us lamhe
ḳhvāb samundar meñ ḳhud ko vo Dubonā aur na honā
roz roz ye lambi tan ke sona aur na hona
kab ka hua barabar apna hona aur na hona
ek hi waqt mein donon baaten kyun-kar ho sakti hain
ya'ni sham kinare baiTh ke rona aur na hona
sab ka DhunDhte rahna wo be-sud yahin har jaanib
apne aap ko isi bhiD mein khona aur na hona
jaise do rangon ka milna aur miT jaana mil kar
hone ko kisi an-hone mein samona aur na hona
mail ki surat rahna apne pahne hue kapDon mein
aur phir un ko kahin utar ke dhona aur na hona
sham aur shahr ke sath hi dhund mein gum ho jaana aksar
us ki did se aankhen roz bhigona aur na hona
bik jaana bazar-e-KHayal mein puri qimat le kar
sochte jaana us ke jism ka sona aur na hona
ruk jaana lahron ka sara shor 'zafar' us lamhe
KHwab samundar mein KHud ko wo Dubona aur na hona
- Book : Ghazal Ka Shor (Pg. 146)
- Author : Zafar Iqbal
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.