talluqat ke tohfe sanbhaal kar rakhna

talluqat ke tohfe sanbhaal kar rakhna
Abdul Haq Sahar Muzaffarnagari
MORE BYAbdul Haq Sahar Muzaffarnagari
ta'alluqāt ke tohfe sañbhāl kar rakhnā
mile haiñ zaḳhm jo gahre sañbhāl kar rakhnā
sukūn dete haiñ tanhā.iyoñ ke mausam meñ
tamām dard ke rishte sañbhāl kar rakhnā
koī na qadr kare is kā ġham na karnā kabhī
diloñ meñ pyaar ke jazbe sañbhāl kar rakhnā
mahakte lamhoñ kā ehsās hogā āñgan meñ
shagufta phūloñ ke gamle sañbhāl kar rakhnā
vabāl-e-jāñ na kahīñ ġhaflatoñ se ban jaa.eñ
jadīd daur ke bachche sañbhāl kar rakhnā
kabhī libās-e-haqīqat pahan bhī sakte haiñ
tum apnī āñkhoñ meñ sapne sañbhāl kar rakhnā
zarā sī der meñ baazī palaT bhī saktī hai
diloñ ke khel meñ mohre sañbhāl kar rakhnā
tumhāre haath meñ hoñge to chal bhī jā.eñge
purāne daur ke sikke sañbhāl kar rakhnā
nichoḌ kar jo ragoñ se maiñ de rahā huuñ tumheñ
mire lahū ke vo qatre sañbhāl kar rakhnā
hamārī yaad meñ niklā huā har ik aañsū
ki jaise motī ho aise sañbhāl kar rakhnā
yaqīn jāniye tahzīb kī zamānat haiñ
'sahar' ne jo kahe jumle sañbhāl kar rakhnā
ta'alluqat ke tohfe sanbhaal kar rakhna
mile hain zaKHm jo gahre sanbhaal kar rakhna
sukun dete hain tanhaiyon ke mausam mein
tamam dard ke rishte sanbhaal kar rakhna
koi na qadr kare is ka gham na karna kabhi
dilon mein pyar ke jazbe sanbhaal kar rakhna
mahakte lamhon ka ehsas hoga aangan mein
shagufta phulon ke gamle sanbhaal kar rakhna
wabaal-e-jaan na kahin ghaflaton se ban jaen
jadid daur ke bachche sanbhaal kar rakhna
kabhi libas-e-haqiqat pahan bhi sakte hain
tum apni aankhon mein sapne sanbhaal kar rakhna
zara si der mein bazi palaT bhi sakti hai
dilon ke khel mein mohre sanbhaal kar rakhna
tumhaare hath mein honge to chal bhi jaenge
purane daur ke sikke sanbhaal kar rakhna
nichoD kar jo ragon se main de raha hun tumhein
mere lahu ke wo qatre sanbhaal kar rakhna
hamari yaad mein nikla hua har ek aansu
ki jaise moti ho aise sanbhaal kar rakhna
yaqin jaaniye tahzib ki zamanat hain
'sahar' ne jo kahe jumle sanbhaal kar rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.