tum chaho ki duniya mein rahe nam kisi ka
tum chāho ki duniyā meñ rahe naam kisī kā
kar saktī hai kyā gardish-e-ayyām kisī kā
hai 'ishq jo mujh ko ruḳh-o-gesū se kisī ke
paḌhtā huuñ vazīfa sahar-o-shām kisī kā
kis kī shab-e-‘ishrat sahar-e-ġham se na badlī
dekhā na gayā charḳh se ārām kisī kā
kahne ko faqat baat hī rah jaatī hai baaqī
rukne ko to ruktā hī nahīñ kaam kisī kā
qaaf
jā kar mirī jānib se jo darbāñ ne ye kī 'arz
aayā hai koī sun ke baḌā naam kisī kā
kahne lagā jā bhī mujhe kyā bahs kisī se
koī ho mirī bazm meñ kyā kaam kisī kā
phir dekhe koī 'ashk' sitāre kī bulandī
jalva nazar aa.e jo lab-e-bām kisī kā
tum chaho ki duniya mein rahe nam kisi ka
kar sakti hai kya gardish-e-ayyam kisi ka
hai 'ishq jo mujh ko ruKH-o-gesu se kisi ke
paDhta hun wazifa sahar-o-sham kisi ka
kis ki shab-e-‘ishrat sahar-e-gham se na badli
dekha na gaya charKH se aaram kisi ka
kahne ko faqat baat hi rah jati hai baqi
rukne ko to rukta hi nahin kaam kisi ka
qaf
ja kar meri jaanib se jo darban ne ye ki 'arz
aaya hai koi sun ke baDa nam kisi ka
kahne laga ja bhi mujhe kya bahs kisi se
koi ho meri bazm mein kya kaam kisi ka
phir dekhe koi 'ashk' sitare ki bulandi
jalwa nazar aae jo lab-e-baam kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.