kyā mu'amma hai ye zindagī bhī
jise aadmī
lākhoñ sadiyāñ
ka.ī sad zamāne
guzar jaane ke baa'd bhī hal nahīñ kar sakā
is mu'amme ke hal ke liye
Delphi kī pahāḌī se aa.e
kisī shāhzāde
kisī oedipus kī zarūrat nahīñ
is mu'amme kā hal
aur koī nahīñ
balki ḳhud aadmī hai
magar aadmī
aaj hai
aadmī kal nahīñ
aadmī ḳhud mu'amma hai
jis kā koī hal nahīñ
kya mu'amma hai ye zindagi bhi
jise aadmi
lakhon sadiyan
kai sad zamane
guzar jaane ke ba'd bhi hal nahin kar saka
is mu'amme ke hal ke liye
Delphi ki pahaDi se aae
kisi shahzade
kisi oedipus ki zarurat nahin
is mu'amme ka hal
aur koi nahin
balki KHud aadmi hai
magar aadmi
aaj hai
aadmi kal nahin
aadmi KHud mu'amma hai
jis ka koi hal nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.