Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hadisa

Bashar Nawaz

hadisa

Bashar Nawaz

MORE BYBashar Nawaz

    us ne bhaTTī se zarā jhāñk ke pal-bhar ke liye

    pīchhe palaT kar dekhā

    maut ne pighlī chamaktī huī chāñdī uglī

    jhuk ke sūraj ne use chūmā to sat-rangī dhanak phuuT paḌī

    koī āvāra bhaTaktā jhoñkā

    peḌ se ber ke aThkheliyāñ kartā guzrā

    farsh par surḳh nagīne se TapāTap Tapke

    sabz poshāk meñ lipTī huī doshīzā.eñ

    jhuk ke sargoshiyāñ karne lagīñ

    pāzeb bajātī huī ḳhushbū parī aa.ī ghaḌī-bhar Thahrī

    aur be-nām manzil taraf dauḌ ga.ī

    us ne pahchān ke āvāz

    maiñ bhī huuñ tire saath magar

    paḌ gayā halq meñ tezābī dhueñ phandā

    qahqaha lohe guuñj uThā sabhī sāthī pukāre vo gayā

    siren chīḳh ke bolā ki dīvāna thā koī

    us ne bhaTTi se zara jhank ke pal-bhar ke liye

    pichhe palaT kar dekha

    maut ne pighli chamakti hui chandi ugli

    jhuk ke suraj ne use chuma to sat-rangi dhanak phuT paDi

    koi aawara bhaTakta jhonka

    peD se ber ke aThkheliyan karta guzra

    farsh par surKH nagine se TapaTap Tapke

    sabz poshak mein lipTi hui doshizaen

    jhuk ke sargoshiyan karne lagin

    pazeb bajati hui KHushbu ki pari aai ghaDi-bhar Thahri

    aur be-nam si manzil ki taraf dauD gai

    us ne pahchan ke aawaz di

    main bhi hun tere sath magar

    paD gaya halq mein tezabi dhuen ka phanda

    qahqaha lohe ka gunj uTha sabhi sathi pukare wo gaya

    siren chiKH ke bola ki diwana tha koi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now