handloom
ye dastī pārcha-bāfī hamāre ghar kī san'at hai
ye san'at iftiḳhār-e-qaum hai bhārat kī 'azmat hai
yahī san'at hameñ baḳhshegī ḳhushiyāñ aur ḳhush-hālī
isī fan se hamāre ghar meñ hogī fāriġh-ul-bālī
hamārī dast-bāfī bhā ga.ī hai zauq vāloñ ko
bahut marġhūb haiñ kapḌe hamāre mah-jamāloñ ko
banāvaT meñ numāyāñ chand sadiyoñ ke ḳhazāne haiñ
ellora ke namūne haiñ ajantā ke fasāne haiñ
kahīñ haiñ naqsh muġhloñ rājputoñ kī saqāfat ke
kahīñ manzar haiñ dilkash hind kī qaumī vajāhat ke
zabāñ-zad ho rahī hai āj-kal in kī dil-āvezī
baḌā dilkash hai in kapḌoñ kā tarz-e-rang-āmezī
vo america ho yā europe har ik jā is kā charchā hai
hamārī dast-bāfī kā jahāñ meñ bol-bālā hai
mubārak 'tāhira' hafta manānā dast-kāroñ ko
ḳhudā ābād rakkhe mulk ke in honhāroñ ko
ye dasti parcha-bafi hamare ghar ki san'at hai
ye san'at iftiKHar-e-qaum hai bhaarat ki 'azmat hai
yahi san'at hamein baKHshegi KHushiyan aur KHush-haali
isi fan se hamare ghar mein hogi farigh-ul-baali
hamari dast-bafi bha gai hai zauq walon ko
bahut marghub hain kapDe hamare mah-jamalon ko
banawaT mein numayan chand sadiyon ke KHazane hain
ellora ke namune hain ajanta ke fasane hain
kahin hain naqsh mughlon rajputon ki saqafat ke
kahin manzar hain dilkash hind ki qaumi wajahat ke
zaban-zad ho rahi hai aaj-kal in ki dil-awezi
baDa dilkash hai in kapDon ka tarz-e-rang-amezi
wo america ho ya europe har ek ja is ka charcha hai
hamari dast-bafi ka jahan mein bol-baala hai
mubarak 'tahira' hafta manana dast-karon ko
KHuda aabaad rakkhe mulk ke in honhaaron ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.