ek udas
aaj phir shaam se pahle hī utar aa.egā
mere chehre pe ik afsurda udāsī kā sukūt
raat bhar dard kī chādar meñ lapeTe ḳhud ko
subah raushan hai maiñ ye kah ke dilāse dūñgī
chāñd jab thak ke sitāroñ se lipaT jā.egā
raat chupke se mirī aañkh meñ Dhal jā.egī
phir kahīñ duur se aatī huī gumnām sadā
band khiḌkī ke kisī shīshe se Takrā.egī
raat ke be-karāñ sannāTe se vahshat khā kar
chand bikhre hue ḳhvāboñ ko maiñ yakjā kar ke
apnī āñkhoñ se kahīñ duur chhupā ā.ūñgī
mere siine pe aziyyat kā nishāñ de kar ke
raat chup-chāp dabe paañv guzar jaatī hai
apne bistar pe paḌī haule se karvaT le kar
bhīgte takiye pe sar rakh ke maiñ āhista se
sochtī huuñ ki mohabbat kī haqīqat kyā hai
jin ke chehroñ se jhalaktī hai thakan rātoñ kī
korī āñkhoñ meñ guzar jaatī haiñ rāteñ jin kī
apnī āñkhoñ meñ vo gumnām udāsī le kar
kyā faqat ashk bahāne ke liye aate haiñ
aaj phir sham se pahle hi utar aaega
mere chehre pe ek afsurda udasi ka sukut
raat bhar dard ki chadar mein lapeTe KHud ko
subah raushan hai main ye kah ke dilase dungi
chand jab thak ke sitaron se lipaT jaega
raat chupke se meri aankh mein Dhal jaegi
phir kahin dur se aati hui gumnam sada
band khiDki ke kisi shishe se Takraegi
raat ke be-karan sannaTe se wahshat kha kar
chand bikhre hue KHwabon ko main yakja kar ke
apni aankhon se kahin dur chhupa aaungi
mere sine pe aziyyat ka nishan de kar ke
raat chup-chap dabe panw guzar jati hai
apne bistar pe paDi haule se karwaT le kar
bhigte takiye pe sar rakh ke main aahista se
sochti hun ki mohabbat ki haqiqat kya hai
jin ke chehron se jhalakti hai thakan raaton ki
kori aankhon mein guzar jati hain raaten jin ki
apni aankhon mein wo gumnam udasi le kar
kya faqat ashk bahane ke liye aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.