Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jangal na sahi

Ataur Rahman Tariq

jangal na sahi

Ataur Rahman Tariq

MORE BYAtaur Rahman Tariq

    savere aisā lagā

    jaise koī darvāze par dastak de rahā hai

    uTh kar dekhā to koī nahīñ thā

    khaT khaT āvāz par dhyān diyā

    to khiḌkī ke paT par baiThā nazar aayā ek parinda

    choñch se banā rahā thā naqsh-o-nigār

    kyoñ bha.ī maiñ ne pūchhā to kahne lagā

    kirā.e par chāhiye ek Tahnī jis par banā sakūñ apnā ghoñsla

    apnī to jaise-taise kaT jā.egī

    lekin bāl-bachchoñ kyā hogā

    aap ke bhaa.ī bandoñ ne kaaT Daale jañgal

    aur de diyā des nikālā

    savāb niyyat se bhale aadmī dālān meñ rakh dete haiñ paanī kaTorī aur daana

    peT aag bujhāne ko thoḌā khā lete haiñ

    chhat bhale na ho khānā to chāhiye

    kabhī lagtā hai bijlī ke taar chhū kar ḳhud-kushī kar luuñ

    ūñche mobile Tāvaroñ se Takrā kar jaan de duuñ

    jaise kisānoñ ko ḳhud-kushī ke baad sarkār kuchh imdād de detī hai

    shāyad koī gosha hameñ bhī allot kar de bachchoñ ke liye

    ye sun kar maiñ to chakrā gayā

    is taraf to sach-much maiñ ne koī dhyān nahīñ diyā thā

    jañgaloñ ko kāTte samay kis ne sochā hogā ki

    ye be-zabān kahāñ jā.eñge

    maiñ ne haath joḌ kar kahā

    in zālimoñ taraf se maiñ muāfī māñgtā huuñ

    ḳhudā ke vāste ḳhud-kushī ḳhayāl dil meñ na laanā

    jab tak chāhe merī kunDī meñ lage one rome kitchen meñ guzāra kar lo

    kuchh tañgī sahī lekin intizām ho jā.egā

    us ne kahā

    mehrbānī magar maiñ kirāya adā karne ahal nahīñ

    maiñ ne kahā sub.h-shām apnī mīThī bolī sunā diyā karnā bas

    mujhe aur kuchh nahīñ chāhiye

    us ne kahā

    mere dhanye bhaag ki aap jaise hamdard insān se mulāqāt ho ga.ī

    lekin har koī to aap jaisā nahīñ

    aur phir mere baaqī ham-jinsoñ kyā hogā

    maiñ ne kahā

    unheñ bhī kahīñ na kahīñ sar chhupāne ko jagah mill jā.egī

    magar ḳhudārā tum ḳhud-kushī irāda tark kar do

    ham jhaaḌ lagā.eñge aur un hifāzat bhī kareñge

    ye sunte vo ḳhushī ḳhushī tinke jam.a karne meñ magan ho gayā

    aur

    maiñ ghar meñ aap ko ye saarā mājrā sunāne chalā aayā

    is nanhe se parinde khaT khaT ne goyā mere dil-o-dimāġh ke

    darvāze khol diye

    ye sun kar paḌh kar aap bhī apne āñgan meñ ek jhaaḌ to

    lagā.eñge

    kunDī meñ ek biij to bo.eñge

    kam-az-kam ek biij

    sawere aisa laga

    jaise koi darwaze par dastak de raha hai

    uTh kar dekha to koi nahin tha

    khaT khaT ki aawaz par dhyan diya

    to khiDki ke paT par baiTha nazar aaya ek parinda

    chonch se bana raha tha naqsh-o-nigar

    kyon bhai main ne puchha to kahne laga

    kirae par chahiye ek Tahni jis par bana sakun apna ghonsla

    apni to jaise-taise kaT hi jaegi

    lekin baal-bachchon ka kya hoga

    aap ke bhai bandon ne kaT Dale jangal

    aur de diya des nikala

    sawab ki niyyat se bhale aadmi dalan mein rakh dete hain pani ki kaTori aur dana

    peT ki aag bujhane ko thoDa sa kha pi lete hain

    chhat bhale na ho khana to chahiye hi

    kabhi lagta hai bijli ke tar chhu kar KHud-kushi kar lun

    ya unche mobile Tawaron se Takra kar jaan de dun

    jaise kisanon ko KHud-kushi ke baad sarkar kuchh imdad de deti hai

    shayad koi gosha hamein bhi allot kar de bachchon ke liye

    ye sun kar main to chakra gaya

    is taraf to sach-much main ne koi dhyan nahin diya tha

    jangalon ko kaTte samay kis ne socha hoga ki

    ye be-zaban kahan jaenge

    main ne hath joD kar kaha

    in zalimon ki taraf se main muafi mangta hun

    KHuda ke waste KHud-kushi ka KHayal dil mein na lana

    jab tak ji chahe meri kunDi mein lage one rome kitchen hi mein guzara kar lo

    kuchh tangi sahi lekin intizam ho jaega

    us ne kaha

    mehrbani magar main kiraya ada karne ka ahal nahin

    main ne kaha subh-sham apni miThi boli suna diya karna bas

    mujhe aur kuchh nahin chahiye

    us ne kaha

    mere dhanye bhag ki aap jaise hamdard insan se mulaqat ho gai

    lekin har koi to aap jaisa nahin

    aur phir mere baqi ham-jinson ka kya hoga

    main ne kaha

    unhen bhi kahin na kahin sar chhupane ko jagah mill jaegi

    magar KHudara tum KHud-kushi ka irada tark kar do

    hum jhaD lagaenge aur un ki hifazat bhi karenge

    ye sunte hi wo KHushi KHushi tinke jama karne mein magan ho gaya

    aur

    main ghar mein aap ko ye sara majra sunane chala aaya

    is nanhe se parinde ki khaT khaT ne goya mere dil-o-dimagh ke

    darwaze khol diye

    ye sun kar ya paDh kar aap bhi apne aangan mein ek jhaD to

    lagaenge na

    ya kunDi mein ek bij to boenge na

    kam-az-kam ek bij

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now