main
maiñ sard rutoñ kī tanhā.ī meñ chāñd huuñ pichhlī rātoñ kā
maiñ sāhil dhūp-samundar kā maiñ ishq-nagar kā banjāra
maiñ bādal sāvan kī rut kā jo banjar jag.hoñ par barsā
maiñ chashma mīThe paanī kā jo biich samundar ke phūTā
maiñ garm dupahroñ kā sapnā jo pal-do-pal meñ Tuut gayā
maiñ mor ghanere jangal kā jo tanhā saarā din nāchā
maiñ sātvāñ dar huuñ jis ko ab tak koī na aa kar khol sakā
maiñ bhūlā-bhaTkā she'r jise shā'ir ne sochā na likkhā
maiñ pyaas chamaktī retoñ kī maiñ dukh huuñ tapte sahrā kā
maiñ phuul kañval kā sahrā meñ khilne kā jis ko hukm milā
main sard ruton ki tanhai mein chand hun pichhli raaton ka
main sahil dhup-samundar ka main ishq-nagar ka banjara
main baadal sawan ki rut ka jo banjar jaghon par barsa
main chashma miThe pani ka jo bich samundar ke phuTa
main garm dupahron ka sapna jo pal-do-pal mein Tut gaya
main mor ghanere jangal ka jo tanha sara din nacha
main satwan dar hun jis ko ab tak koi na aa kar khol saka
main bhula-bhaTka she'r jise sha'ir ne socha na likkha
main pyas chamakti reton ki main dukh hun tapte sahra ka
main phul kanwal ka sahra mein khilne ka jis ko hukm mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.