mere hamraaz
maiñ bahut der se dālān meñ chupkī baiThī
sard dīvār se sar apnā Tikā kar tujh ko
sochtī huuñ ki tū is vaqt kahāñ par hogā
kisī jalte hue chūlhe kī taraf haath baḌhā.e
yā kisī narm se kambal meñ hī pairoñ ko chhupā.e
kisī kone meñ kahīñ par tū akelā baiThā
apnī āñkhoñ ke darīchoñ ko muqaffal kar ke
mujhe lagtā hai mujhe soch rahā hogā tū
ki vo is vaqt kisī nazm meñ khoī shāyad
mirī tasvīr se mauzū'-e-suḳhan vā kartī
kisī pechīda zaḳhāmat se bhare novel ke
chand jumloñ kī samā'at se hirāsāñ ho kar
ḳhud se laḌte hue aurāq ulaTtī hogī
maiñ bhaTak kar kahīñ is or nikal ā.ūñgā
vo yahī soch ke ab chhat pe Tahaltī hogī
mire hoñToñ ke tabassum pe fidā ik laḌkī
mirī āñkhoñ ke ishāroñ se bahalne vaalī
jaane ab ruuTh ke vo kaise bahaltī hogī
mire ham-rāz mirī soch meñ rahne vaale
mire ruḳhsār pe bahte hue paanī kī qasam
aa mujhe dekh tire hijr meñ kyā haal huā
vo jo nazmoñ se suḳhan kartī bahal jaatī thī
jo kabhī girtī to ḳhud gir ke sañbhal jaatī thī
jis ko hañste hue chehroñ se mohabbat thī kabhī
jis kī rangīn tabī'at kā thā shaidā.ī tū
us ne sūraj kī shu'ā'oñ se 'adāvat kar lī
apnī rangīn mizājī se baġhāvat kar lī
sard rātoñ meñ vo be-ḳhauf jagā kartī hai
ab ujāloñ meñ añdheroñ kī du'ā kartī hai
main bahut der se dalan mein chupki baiThi
sard diwar se sar apna Tika kar tujh ko
sochti hun ki tu is waqt kahan par hoga
kisi jalte hue chulhe ki taraf hath baDhae
ya kisi narm se kambal mein hi pairon ko chhupae
kisi kone mein kahin par tu akela baiTha
apni aankhon ke darichon ko muqaffal kar ke
mujhe lagta hai mujhe soch raha hoga tu
ki wo is waqt kisi nazm mein khoi shayad
meri taswir se mauzu'-e-suKHan wa karti
kisi pechida zaKHamat se bhare nowel ke
chand jumlon ki sama'at se hirasan ho kar
KHud se laDte hue auraq ulaTti hogi
main bhaTak kar kahin is or nikal aaunga
wo yahi soch ke ab chhat pe Tahalti hogi
mere honTon ke tabassum pe fida ek laDki
meri aankhon ke ishaaron se bahalne wali
jaane ab ruTh ke wo kaise bahalti hogi
mere ham-raaz meri soch mein rahne wale
mere ruKHsar pe bahte hue pani ki qasam
aa mujhe dekh tere hijr mein kya haal hua
wo jo nazmon se suKHan karti bahal jati thi
jo kabhi girti to KHud gir ke sanbhal jati thi
jis ko hanste hue chehron se mohabbat thi kabhi
jis ki rangin tabi'at ka tha shaidai tu
us ne suraj ki shu'a'on se 'adawat kar li
apni rangin mizaji se baghawat kar li
sard raaton mein wo be-KHauf jaga karti hai
ab ujalon mein andheron ki du'a karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.