Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mirriKH ki sair

Naimuddin Naeem

mirriKH ki sair

Naimuddin Naeem

MORE BYNaimuddin Naeem

    is saal chhuTTiyoñ banā ye programme

    jā.eñge dost sair ko mirrīḳh tamām

    duniyā se duur apnī ḳhalāoñ meñ jā.eñge

    ham dūsre jahāñ ḳhabar le ke ā.eñge

    ūñchī bahut uḌaan hai lambā baḌā safar

    nikle ḳhalā sair ko rocket meñ baiTh kar

    phir ham ne ke Daal mirrīḳh par kamand

    iqbāl ke iqbāl ko ham ne kiyā buland

    lambe safar ke baad jo pahuñche mirrīḳh par

    dekhe qadam qadam pe ajūbe mirrīḳh par

    ahl-e-mirrīḳh ne kahā hameñ ḳhush-āmdīd

    samjho yuuñ ham ko apnī vafā se liyā ḳharīd

    maḳhlūq ik ajiib dekhī mirrīḳh par

    the bandaroñ se jism to chītoñ se un ke sar

    aate nazar nahīñ the ba-zāhir to un ke par

    sab uḌte phir rahe the ḳhalā meñ idhar udhar

    ruk ruk ke uḌ rahī thiiñ ḳhalāoñ meñ titliyāñ

    bin aab tairtī thiiñ fazāoñ meñ machhliyāñ

    rañgīn ḳhushnumā the sitāre mirrīḳh par

    nazroñ ko lūTte the nazāre mirrīḳh par

    sarsabz rañg chāñd thā sarsabz raat thī

    māhaul pur-sukūñ thā ġhamoñ se najāt thī

    thiiñ gahrī khā.iyāñ kahīñ ūñche pahāḌ the

    chāñdī ke sabza-zār the sone ke jhaaḌ the

    thiiñ raunaqeñ karachi mausam marī thā

    dil meñ ḳhayāl bhī na koī be-gharī thā

    mahsūs kam hotī vahāñ par thī bhuuk pyaas

    khāne ko phal lazīz the charne ko mīThī ghaas

    laTkī huī shajar pe thiiñ paanī botaleñ

    hairān-kun ḳhalā meñ muallaq thiiñ hoteleñ

    mauqa jo haath aayā thā ham ne na der

    ghūme phire mirrīḳh pe bhar ke sair

    do maah chhuTTīyāñ ga.iiñ do din meñ guzar

    buddhū tamām lauT ke phir aa.e apne ghar

    mirrīḳh safar to baḌā lā-javāb thā

    lagtā hai jaise dekhā koī ham ne ḳhvāb thā

    is sal chhuTTiyon ka bana ye programme

    jaenge dost sair ko mirriKH ki tamam

    duniya se dur apni KHalaon mein jaenge

    hum dusre jahan ki KHabar le ke aaenge

    unchi bahut uDan hai lamba baDa safar

    nikle KHala ki sair ko rocket mein baiTh kar

    phir hum ne ja ke Dal di mirriKH par kamand

    iqbaal ke iqbaal ko hum ne kiya buland

    lambe safar ke baad jo pahunche mirriKH par

    dekhe qadam qadam pe ajube mirriKH par

    ahl-e-mirriKH ne kaha hamein KHush-amdid

    samjho yun hum ko apni wafa se liya KHarid

    maKHluq ek ajib hi dekhi mirriKH par

    the bandaron se jism to chiton se un ke sar

    aate nazar nahin the ba-zahir to un ke par

    sab uDte phir rahe the KHala mein idhar udhar

    ruk ruk ke uD rahi thin KHalaon mein titliyan

    bin aab tairti thin fazaon mein machhliyan

    rangin KHushnuma the sitare mirriKH par

    nazron ko luTte the nazare mirriKH par

    sarsabz rang chand tha sarsabz raat thi

    mahaul pur-sukun tha ghamon se najat thi

    thin gahri khaiyan kahin unche pahaD the

    chandi ke sabza-zar the sone ke jhaD the

    thin raunaqen karachi ki mausam mari ka tha

    dil mein KHayal bhi na koi be-ghari ka tha

    mahsus kam hi hoti wahan par thi bhuk pyas

    khane ko phal laziz the charne ko miThi ghas

    laTki hui shajar pe thin pani ki botalen

    hairan-kun KHala mein muallaq thin hotelen

    mauqa jo hath aaya tha hum ne na der ki

    ghume phire mirriKH pe ji bhar ke sair ki

    do mah ki chhuTTiyan gain do din mein hi guzar

    buddhu tamam lauT ke phir aae apne ghar

    mirriKH ka safar to baDa la-jawab tha

    lagta hai jaise dekha koi hum ne KHwab tha

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now