Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

night walk (shab-nawardi)

Salman Saeed

night walk (shab-nawardi)

Salman Saeed

MORE BYSalman Saeed

    january sardī meñ

    yaar shab-navardī meñ

    mere ghar chale aa.e

    maiñ ne bhī kamīnoñ

    muḳhtalif namūnoñ

    aisī mezbānī

    kursī-vursī lagvā.ī

    chā-e-shā.e mañgvā.ī

    aag thoḌī dahkā.ī

    aag ke dahakne se

    guftugū bhī garmā.ī

    guftugū bhī chaa.e

    guftugū alaav

    aur phir alaav se

    ik badan yaad aa.ī

    maiñ ne zikr chheḌā phir

    hashr qayāmat

    us badan qāmat

    us badan rangat

    yaaro kaise batlā.ūñ

    us badan ke zer-o-bam

    jism pe ugā resham

    naaf meñ rukī shabnam

    yaar vo badan jis dam

    bāzūoñ meñ aatā thā

    kyā sitam na Dhātā thā

    aag lagātā thā

    haa.e vo rahā jab tak

    ham ne hijr vāloñ

    rāgnī nahīñ gaa.ī

    sardiyāñ nahīñ aa.iiñ

    sardiyoñ se yaad aayā

    lakḌiyoñ ke sho'le sab

    maañd paḌ ga.e lekin

    yaar mere jal uTThe

    sab ke sab machal uThe

    january ki sardi mein

    yar shab-nawardi mein

    mere ghar chale aae

    main ne bhi kaminon ki

    muKHtalif namunon ki

    aisi mezbani ki

    kursi-wursi lagwai

    cha-e-shae mangwai

    aag thoDi dahkai

    aag ke dahakne se

    guftugu bhi garmai

    guftugu bhi chae ki

    guftugu alaw ki

    aur phir alaw se

    ek badan ki yaad aai

    main ne zikr chheDa phir

    hashr ka qayamat ka

    us badan ki qamat ka

    us badan ki rangat ka

    yaro kaise batlaun

    us badan ke zer-o-bam

    jism pe uga resham

    naf mein ruki shabnam

    yar wo badan jis dam

    bazuon mein aata tha

    kya sitam na Dhata tha

    aag hi lagata tha

    hae wo raha jab tak

    hum ne hijr walon ki

    ragni nahin gai

    sardiyan nahin aain

    sardiyon se yaad aaya

    lakDiyon ke sho'le sab

    mand paD gae lekin

    yar mere jal uTThe

    sab ke sab machal uThe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now