nile KHwab
aksar tavīl siyāh rātoñ meñ
ek ḳhvāb
jāgtī āñkhoñ se
dil meñ utartā hai
us ḳhvāb meñ maiñ
mere phaile hue hāthoñ meñ
niilī syāhī se
jaane kis se milan kī lakīr banātī huuñ
syāhī ulaT jaatī hai
mere phaile haath merī āñkheñ mere ḳhvāb
sab niile ho jaate haiñ
yahāñ tak ki tavīl siyāh rāteñ bhī
aksar tawil siyah raaton mein
ek KHwab
jagti aankhon se
dil mein utarta hai
us KHwab mein main
mere phaile hue hathon mein
nili syahi se
jaane kis se milan ki lakir banati hun
syahi ulaT jati hai
mere phaile hath meri aankhen mere KHwab
sab nile ho jate hain
yahan tak ki tawil siyah raaten bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.