sadiqain
uñgliyāñ figār us kī ḳhāma ḳhūñ-chakāñ us kā
husn nuur kī sūrat āsmān se utre
harf raushnī Thahre
bahr-e-bekarāñ ġham kā bas gayā rag-o-pai meñ
dard paikar-e-shab meñ kahkashāñ tasavvur meñ
naqsh ban ke ubhre haiñ saf.ha-e-taḳhayyul par
saf.ha-e-taḳhayyul par ḳhūn-e-dil kī tahrīreñ
ḳhūn-e-dil se ubhrī haiñ fikr-o-fan kī tasvīreñ
uñgliyāñ figār us kī ḳhāma ḳhūñ-chakāñ us kā
'arsh ke makīnoñ meñ guftugū qalam kī hai
tazkira junūñ kā hai
zikr rang-e-ḳhūñ kā hai
'arsh kī fazāoñ meñ ġhalġhala suḳhan kā hai
mehr-o-māh gardish meñ mehr-o-māh dāman meñ
mehr-o-māh āñkhoñ meñ us kī jagmagāte haiñ
ḳhvāb chashm-e-bīnā kā ḳhvāb chashm-e-hairat kā
ḳhvāb us ne dekhe bhī ḳhvāb us ne bāñTe bhī
ḳhvāb ḳhūb-sūrat ḳhvāb āgahī kī rif'at kā
ḳhūb-tar safar kā ḳhvāb
ḳhūb-tar jahāñ kā ḳhvāb
husn-e-ḳhūb-tar kā ḳhvāb
naqsh-hā-e-rangā-rang
raushnā.ī ashkoñ kī mash’aloñ kī lau ban kar
chehra-e-mohabbat ko tābnāk kartī hai
zindagī kī rāhoñ meñ raushnī kī mehrābeñ
uñgliyāñ figār us kī ḳhāma ḳhūñ-chakāñ us kā
shā'irī kā sarmāya fikr-o-fan kā sar-chashma
nok-e-ḳhāma se us kī chāñdnī Tapaktī hai
raushnī nikhartī hai tīrgī simaTtī hai
ḳhāma ḳhūñ-chakāñ us kā ik jahān-e-mā'nī hai
uñgliyāñ figār us kī
ḳhair-o-shar kī duniyā meñ ḳhair kī 'alāmat haiñ
uñgliyāñ figār us kī raushnī kī qindīleñ
karb kī haiñ tasvīreñ
jabr kī nafī jin se jahl kī nafī jin se
kufr kī nafī jin se sub.h-o-shām hotī hai
vo safīr-e-dānā.ī vo naqīb-e-bīnā.ī
ḳhāma ḳhūñ-chakāñ us kā husn kā musavvir hai
'ishq kā musāfir hai
ziist kī sadāqat kā vo amīn-o-paiġhambar
vo sahīfa-e-ġham kā mo'tabar musannif hai
uñgliyāñ figār us kī ḳhāma ḳhūñ-chakāñ us kā
ungliyan figar us ki KHama KHun-chakan us ka
husn nur ki surat aasman se utre
harf raushni Thahre
bahr-e-bekaran gham ka bas gaya rag-o-pai mein
dard paikar-e-shab mein kahkashan tasawwur mein
naqsh ban ke ubhre hain safha-e-taKHayyul par
safha-e-taKHayyul par KHun-e-dil ki tahriren
KHun-e-dil se ubhri hain fikr-o-fan ki taswiren
ungliyan figar us ki KHama KHun-chakan us ka
'arsh ke makinon mein guftugu qalam ki hai
tazkira junun ka hai
zikr rang-e-KHun ka hai
'arsh ki fazaon mein ghalghala suKHan ka hai
mehr-o-mah gardish mein mehr-o-mah daman mein
mehr-o-mah aankhon mein us ki jagmagate hain
KHwab chashm-e-bina ka KHwab chashm-e-hairat ka
KHwab us ne dekhe bhi KHwab us ne banTe bhi
KHwab KHub-surat KHwab aagahi ki rif'at ka
KHub-tar safar ka KHwab
KHub-tar jahan ka KHwab
husn-e-KHub-tar ka KHwab
naqsh-ha-e-ranga-rang
raushnai ashkon ki mash’alon ki lau ban kar
chehra-e-mohabbat ko tabnak karti hai
zindagi ki rahon mein raushni ki mehraben
ungliyan figar us ki KHama KHun-chakan us ka
sha'iri ka sarmaya fikr-o-fan ka sar-chashma
nok-e-KHama se us ki chandni Tapakti hai
raushni nikharti hai tirgi simaTti hai
KHama KHun-chakan us ka ek jahan-e-ma'ni hai
ungliyan figar us ki
KHair-o-shar ki duniya mein KHair ki 'alamat hain
ungliyan figar us ki raushni ki qindilen
karb ki hain taswiren
jabr ki nafi jin se jahl ki nafi jin se
kufr ki nafi jin se subh-o-sham hoti hai
wo safir-e-danai wo naqib-e-binai
KHama KHun-chakan us ka husn ka musawwir hai
'ishq ka musafir hai
zist ki sadaqat ka wo amin-o-paighambar
wo sahifa-e-gham ka mo'tabar musannif hai
ungliyan figar us ki KHama KHun-chakan us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.