sub.h kī pahlī kiran
shaam utrī āsmāñ kī sīḌhiyoñ se to tirī yaad aa.ī hai
sub.h kī pahlī kiran
dekh merī zaat ke tārīk ban meñ kis qadar tanhā.ī hai
sub.h kī pahlī kiran
bāġh-e-nādīda se yuuñ gumnāmiyoñ ke phuul chunñā chhoḌ de
giilī giilī sabz sī is ghaas par
yuuñ Tahalnā chhoḌ de
raat kā dar toḌ de
sub.h kī pahlī kiran
jaldī jaldī āsmāñ kī sīḌhiyāñ nīche utar
aur merī zaat ke tārīk ban kī sair kar
DhūñD is tārīk ban meñ shādmānī kā hiran
sub.h kī pahlī kiran
subh ki pahli kiran
sham utri aasman ki siDhiyon se to teri yaad aai hai
subh ki pahli kiran
dekh meri zat ke tarik ban mein kis qadar tanhai hai
subh ki pahli kiran
bagh-e-nadida se yun gumnamiyon ke phul chunna chhoD de
gili gili sabz si is ghas par
yun Tahalna chhoD de
raat ka dar toD de
subh ki pahli kiran
jaldi jaldi aasman ki siDhiyan niche utar
aur meri zat ke tarik ban ki sair kar
DhunD is tarik ban mein shadmani ka hiran
subh ki pahli kiran
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.