husain ho gae ab kaamyab maqtal mein
husain ho ga.e ab kāmyāb maqtal meñ
du'ā.eñ ho ga.iiñ sab mustajāb maqtal meñ
mizāj-e-sabr ne tā'bīr hī badal Daalī
yazīd tū ne jo dekhā thā ḳhvāb maqtal meñ
mo.arriḳho ye tabassum hai aur ye tīr-e-jafā
batāo kaun huā kāmyāb maqtal meñ
koī dikhā.e to 'abbās kī tarah likh kar
kaTā ke haath vafā kī kitāb maqtal meñ
jise rasūl samajhte the zindagī apnī
'aqīl' aayā hai us par shabāb maqtal meñ
husain ho gae ab kaamyab maqtal mein
du'aen ho gain sab mustajab maqtal mein
mizaj-e-sabr ne ta'bir hi badal Dali
yazid tu ne jo dekha tha KHwab maqtal mein
moarriKHo ye tabassum hai aur ye tir-e-jafa
batao kaun hua kaamyab maqtal mein
koi dikhae to 'abbas ki tarah likh kar
kaTa ke hath wafa ki kitab maqtal mein
jise rasul samajhte the zindagi apni
'aqil' aaya hai us par shabab maqtal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.