SEARCH RESULTS
Showing search results for ".hjdi"
Sher MATCHES FOR ".hjdi"
Sher
apne markaz kii taraf maa.il-e-parvaaz thaa husn
bhuultaa hii nahii.n aalam tirii a.ng.Daa.ii kaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
paidaa vo baat kar ki tujhe ro.e.n duusre
ronaa KHud apne haal pe ye zaar zaar kyaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
zabaan dil kii haqiiqat ko kyaa bayaa.n kartii
kisii kaa haal kisii se kahaa nahii.n jaataa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
KHud chale aa.o yaa bulaa bhejo
raat akele basar nahii.n hotii
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
dillii chhuTii thii pahle ab lucknow bhii chho.De.n
do shahar the ye apne dono.n tabaah nikle
Mirza Hadi Ruswa
Sher
parvaana gird ghuum ke jab ho chukaa fanaa
ab saarii raat sham.a lagan me.n jalii to kyaa
Sabt Md. Hadi Shams
Sher
lutf-e-bahaar kuchh nahii.n go hai vahii bahaar
dil hii uja.D gayaa ki zamaana uja.D gayaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
jhuuTe va.ado.n par thii apnii zindagii
ab to vo bhii aasraa jaataa rahaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
hamesha tinke hii chunte guzar ga.ii apnii
magar chaman me.n kahii.n aashiyaa.n banaa na sake
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
bataa.o aise mariizo.n kaa hai ilaaj ko.ii
ki jin se haal bhii apnaa bayaa.n nahii.n hotaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
tum ne chhe.Daa to kuchh khule ham bhii
baat par baat yaad aatii hai
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
aa.iina chho.D ke dekhaa kiye suurat merii
dil-e-muztar ne mire un ko sa.nvarne na diyaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
vo puuchhte hai.n dil-e-mubtalaa kaa haal aur ham
javaab me.n faqat aa.nsuu bahaa.e jaate hai.n
Hadi Machlishahri
Sher
ye terii aarzuu me.n ba.Dhii vus.at-e-nazar
duniyaa hai sab mirii nigah-e-intizaar me.n
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
miraa vajuud haqiiqat miraa adam dhokaa
fanaa kii shakl me.n sar-chashma-e-baqaa huu.n mai.n
Hadi Machlishahri
Sher
haa.e kyaa chiiz thii javaanii bhii
ab to din raat yaad aatii hai