SEARCH RESULTS
Showing search results for ".jdle"
Sher MATCHES FOR ".jdle"
Sher
shahr kyaa dekhe.n ki har manzar me.n jaale pa.D ga.e
aisii garmii hai ki piile phuul kaale pa.D ga.e
Rahat Indori
Sher
so.e to dil me.n ek jahaa.n jaagne lagaa
jaage to apnii aa.nkh me.n jaale the KHvaab ke
Adil Mansuri
Sher
raushnii phailii to sab kaa rang kaalaa ho gayaa
kuchh diye aise jale har-suu a.ndheraa ho gayaa
Azad Gulati
Sher
kyaa mujh se bhii aziiz hai tum ko diye kii lau
phir to meraa mazaar bane aur diyaa jale
Tahzeeb Hafi
Sher
dil dard kii bhaTTii me.n ka.ii baar jale hai
tab ek Gazal husn ke saa.nche me.n Dhale hai
Kaleem Aajiz
Sher
Qamar Jalalvi
Sher
ajiib baat hai us raat kii sahar na hu.ii
ka.ii charaag jale raushnii magar na hu.ii
Rakesh Toofan
Sher
aql har baar dikhaatii thii jale haath apne
dil ne har baar kahaa aag paraa.ii le le
Ahmad Faraz
Sher
kisii kaa ghar jale apnaa hii ghar lage hai mujhe
vo haal hai ki ujaalo.n se Dar lage hai mujhe
Hafeez Banarasi
Sher
Ijtiba Rizvi
Sher
umr lag jaatii hai ik ghar ko banaane me.n hame.n
maka.Diyaa.n roz hii bun letii hai.n jaale kaise
Akhlaque Bandvi
Sher
na jaane kitnii bastiyaa.n uja.D ke rah ga.ii.n
mile hai.n raaste me.n kuchh makaa.n jale jale
Akbar Hyderabadi
Sher
jo tere Gam me.n jale hai.n vo phir bujhe hii nahii.n
jab in kii raakh kuredo sharaare zinda hai.n
Ram Riyaz
Sher
na puuchhiye ki shab-e-hijr ham pe kyaa guzrii
tamaam raat jale sham-e-anjuman kii tarah
Wahid Premi
Sher
fanaa hone me.n soz-e-sham.a kii minnat-kashii kaisii
jale jo aag me.n apnii use parvaana kahte hai.n