SEARCH RESULTS
Showing search results for ".kaem"
Sher MATCHES FOR ".kaem"
Sher
jhuuT bolaa hai to qaa.em bhii raho us par 'zafar'
aadmii ko saahab-e-kirdaar honaa chaahiye
Zafar Iqbal
Sher
ye zaruurii hai ki aa.nkho.n kaa bharam qaa.em rahe
nii.nd rakkho yaa na rakkho KHvaab meyaarii rakho
Rahat Indori
Sher
qismat to dekh TuuTii hai jaa kar kahaa.n kamand
kuchh duur apne haath se jab baam rah gayaa
Qayem Chaandpuri
Sher
azal se qaa.em hai.n dono.n apnii zido.n pe 'mohsin'
chalegaa paanii magar kinaara nahii.n chalegaa
Mohsin Naqvi
Sher
ik intizaar me.n qaa.em hai is charaaG kii lau
ik ehtimaam me.n kamre kaa dar khulaa hu.aa hai
Abdurrahman Wasif
Sher
qaa.em hai ab bhii merii vafaa.o.n kaa silsila
ik silsila hai un kii jafaa.o.n kaa silsila
Ameeta Parsuram Meeta
Sher
husain aaj bhii qaa.em hai apnii suurat par
yaziid chehre badaltaa hai har zamaane me.n
Asim nadeem Asi
Sher
ko.ii din aage bhii zaahid ajab zamaana thaa
har ik mohalle kii masjid sharaab-KHaana thaa
Qayem Chaandpuri
Sher
dil paa ke us kii zulf me.n aaraam rah gayaa
darvesh jis jagah ki hu.ii shaam rah gayaa
Qayem Chaandpuri
Sher
duniyaa me.n ham rahe to ka.ii din pa is tarah
dushman ke ghar me.n jaise ko.ii mehmaa.n rahe
Qayem Chaandpuri
Sher
Gair se milnaa tumhaaraa sun ke go ham chup rahe
par sunaa hogaa ki tum ko ik jahaa.n ne kyaa kahaa
Qayem Chaandpuri
Sher
aap ke dam se to duniyaa kaa bharam hai qaa.em
aap jab hai.n to zamaane kii zaruurat kyaa hai
Shahid Kabir
Sher
zaalim tuu merii saada-dilii par to rahm kar
ruuThaa thaa tujh se aap hii aur aap man gayaa