SEARCH RESULTS
Showing search results for ".njat"
Sher MATCHES FOR ".njat"
Sher
qaid-e-hayaat o band-e-Gam asl me.n dono.n ek hai.n
maut se pahle aadmii Gam se najaat paa.e kyuu.n
Mirza Ghalib
Sher
Gam hai na ab KHushii hai na ummiid hai na yaas
sab se najaat paa.e zamaane guzar ga.e
Khumar Barabankavi
Sher
kab tak najaat paa.e.nge vahm o yaqii.n se ham
uljhe hu.e hai.n aaj bhii duniyaa o dii.n se ham
Saba Akbarabadi
Sher
Bharat Bhushan Pant
Sher
tashriif laa.o kuucha-e-rindaa.n me.n vaa.izo
siidhii sii raah tum ko bataa de.n najaat kii
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
vo hai ba.Daa kariim rahiim us kii zaat hai
naahaq gunaahgaaro.n ko fikr-e-najaat hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
vahii jo detaa hai duniyaa ko uljhano.n se najaat
kabhii kabhii vahii uljhan me.n Daal detaa hai
Firdaus Gayavi
Sher
mujh ko bhii jaagne kii aziyyat se de najaat
ai raat ab to ghar ke dar-o-baam so ga.e
Azhar Inayati
Sher
mai pii jo chaahe aatish-e-dozaKH se tuu najaat
jaltaa nahii.n vo uzv jo tar ho sharaab me.n
Qayem Chaandpuri
Sher
zahr pii kar bhii yahaa.n kis ko milii Gam se najaat
KHatm hotaa hai kahii.n silsila-e-raqs-e-hayaat
Khalilur Rahman Azmi
Sher
kiyaa na tark-e-maraasim pe ehtijaaj us ne
ki jaise guzre kisii manzil-e-najaat se vo
Musavvir Sabzwari
Sher
aadmii ko Gaflat-e-duniyaa nahii.n detii najaat
sub.h jo chau.nkaa hu.aa masruuf isii saamaan me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
duurii-e-yaar se hove to kisii shakl najaat
roz ham is liye ho aate hai.n do chaar ke paas