SEARCH RESULTS
Showing search results for "KHariidnaa"
Sher MATCHES FOR "KHariidnaa"
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
vo chaahtaa thaa ki kaasa KHariid le meraa
mai.n us ke taaj kii qiimat lagaa ke lauT aayaa
Rahat Indori
Sher
agarche phuul ye apne liye KHariide hai.n
ko.ii jo puuchhe to kah duu.ngaa us ne bheje hai.n
Iftikhar Naseem
Sher
Bashir Badr
Sher
har gha.Dii chashm-e-KHariidaar me.n rahne ke liye
kuchh hunar chaahiye baazaar me.n rahne ke liye
Shakeel Azmi
Sher
ab ham bhii sochte hai.n ki baazaar garm hai
apnaa zamiir bech ke duniyaa KHariid le.n
Iqbal Azeem
Sher
dil kii qiimat to mohabbat ke sivaa kuchh bhii na thii
jo mile suurat-e-zebaa ke KHariidaar mile
Jameel Malik
Sher
vahshat-e-dil ke KHariidaar bhii naapaid hu.e
kaun ab ishq ke baazaar me.n kholegaa dukaa.n
Ibn e Insha
Sher
saudaa vo kyaa karegaa KHariidaar dekh kar
ghabraa gayaa jo garmii-e-baazaar dekh kar
Bismil Azimabadi
Sher
Khalida Uzma
Sher
phir is ke baa'd ye baazaar-e-dil nahii.n lagnaa
KHariid liijiye saahib Gulaam aaKHirii hai
Abbas Tabish
Sher
hazaaro.n tamannaa.o.n ke KHuu.n se ham ne
KHariidii hai ik tohmat-e-paarsaa.ii
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
is pe hairaa.n hai.n KHariidaar ki qiimat hai bahut
mere gauhar kii tab-o-taab nahii.n dekhte hai.n
Anees Ashfaq
Sher
kisii ne mol na puuchhaa dil-e-shikasta kaa
ko.ii KHariid ke TuuTaa piyaala kyaa kartaa
Haidar Ali Aatish
Sher
Gam apne hii ashko.n kaa KHariidaa hu.aa hai
dil apnii hii haalat kaa tamaashaa.ii hai dekho
Zehra Nigaah
Sher
ziist aur maut kaa aaKHir ye fasaana kyaa hai
umr kyuu.n hasb-e-zaruurat nahii.n dii jaa saktii