SEARCH RESULTS
Showing search results for "KHud-kushii"
Sher MATCHES FOR "KHud-kushii"
Sher
iraada to nahii.n hai KHud-kushii kaa
magar mai.n zindagii se KHush nahii.n huu.n
Vikas Sharma Raaz
Sher
ab tak to KHud-kushii kaa iraada nahii.n kiyaa
miltaa hai kyuu.n nadii ke kinaare mujhe ko.ii
Muzaffar Hanfi
Sher
KHud-kushii jurm bhii hai sabr kii tauhiin bhii hai
is liye ishq me.n mar mar ke jiyaa jaataa hai
Ibrat Siddiqui
Sher
ab tak to KHud-kushii kaa iraada nahii.n kiyaa
miltaa hai kyuu.n nadii ke kinaare mujhe ko.ii
Muzaffar Hanfi
Sher
KHud-kushii karne me.n bhii naakaam rah jaate hai.n ham
kaun amrit ghol detaa hai hamaare zahr me.n
Anjum Ludhianvi
Sher
KHud-kushii ik aaKHirii koshish hai zinda rahne kii
KHud-kushii karne ko ik parvaah bhii to chaahiye
Priyamvada Ilhan
Sher
KHud-kushii kaa faisla ye soch kar ham ne kiyaa
kaun kartaa zindagii kaa maut se achchhaa ilaaj
Abhinandan Pandey
Sher
KHud-kushii qatl-e-anaa tark-e-tamannaa bairaag
zindagii tere nazar aane lage hal kitne
Rafia Shabnam Abidi
Sher
KHud-kushii karne ko dariyaa kii taraf jaataa huu.n
aur mil jaataa hai har roz kinaare ko.ii
Mohammad Yasir Mustafvi
Sher
KHud-kushii ke liye tho.Daa saa ye kaafii hai magar
zinda rahne ko bahut zahr piyaa jaataa hai