SEARCH RESULTS
Showing search results for "aab-shaar-e-nidaa"
Sher MATCHES FOR "aab-shaar-e-nidaa"
Sher
in a.ndhero.n se pare is shab-e-Gam se aage
ik na.ii sub.h bhii hai shaam-e-alam se aage
Ishrat Qadri
Sher
ab shahr-e-aarzuu me.n vo ra.anaa.iyaa.n kahaa.n
hai.n gul-kade niDhaal ba.Dii tez dhuup hai
Saghar Siddiqui
Sher
is shor-e-talaatum me.n ko.ii kis ko pukaare
kaano.n me.n yahaa.n apnii sadaa tak nahii.n aatii
Shakeb Jalali
Sher
kuchh be-adabii aur shab-e-vasl nahii.n kii
haa.n yaar ke ruKHsaar pe ruKHsaar to rakkhaa
Begam Lakhnavi
Sher
us shaan-e-aajizii ke fidaa jis ne 'aarzuu'
har naaz har Guruur ke qaabil banaa diyaa
Arzoo Lakhnavi
Sher
ai shahr-e-sitam chho.D ke jaate hu.e logo
ab raah me.n ko.ii bhii madiina nahii.n aataa
Azhar Adeeb
Sher
Natiq Gulavthi
Sher
is shahr-e-be-charaaG me.n jaa.egii tuu kahaa.n
aa ai shab-e-firaaq tujhe ghar hii le chale.n
Nasir Kazmi
Sher
kyuu.n girafta-dil nazar aatii hai ai shaam-e-firaaq
ham jo tere naaz uThaane ke liye maujuud hai.n
Sarvat Husain
Sher
umr kaa koh-e-giraa.n aur shab-o-roz mire
ye vo patthar hai jo kaTtaa nahii.n aasaanii se
Sarvat Husain
Sher
ik sham-e-aarzuu kii haqiiqat hii kyaa magar
tuufaa.n me.n ham charaaG jalaa.e hu.e to hai.n
Junaid Hazin Lari
Sher
lamhaat-e-vasl yaad jo aa.e shab-e-firaaq
yak-laKHt surKH ho ga.e aariz be-iKHtiyaar
Deepak Purohit
Sher
is shahr-e-tamannaa me.n kyaa chhaa.nv mile mujh ko
hai dhuup ke daaman me.n taptaa hu.aa ghar meraa
Fatima Taj
Sher
tuu itnii dil-zada to na thii ai shab-e-firaaq
aa tere raaste me.n sitaare luTaa.e.n ham
Ahmad Faraz
Sher
ik ghar bhii salaamat nahii.n ab shahr-e-vafaa me.n
tuu aag lagaane ko kidhar jaa.e hai pyaare
Kaleem Aajiz
Sher
tahziib hii baaqii hai na ab sharm-o-hayaa kuchh
kis darja ab insaan ye bebaak hu.aa hai