SEARCH RESULTS
Showing search results for "aaftaab"
Sher MATCHES FOR "aaftaab"
Sher
nigaah barq nahii.n chehra aaftaab nahii.n
vo aadmii hai magar dekhne kii taab nahii.n
Jaleel Manikpuri
Sher
vo yuu.n milaa thaa ki jaise kabhii na bichh.Degaa
vo yuu.n gayaa ki kabhii lauT kar nahii.n aayaa
Aftab Hussain
Sher
gul Gunche aaftaab shafaq chaa.nd kahkashaa.n
aisii ko.ii bhii chiiz nahii.n jis me.n tuu na ho
Wahid Premi
Sher
vo chaa.ndnii me.n phirte hai.n ghar ghar ye shor hai
niklaa hai aaftaab shab-e-maahtaab me.n
Jaleel Manikpuri
Sher
saraktii jaa.e hai ruKH se naqaab aahista aahista
nikaltaa aa rahaa hai aaftaab aahista aahista
Ameer Minai
Sher
zarra samajh ke yuu.n na milaa mujh ko KHaak me.n
ai aasmaan mai.n bhii kabhii aaftaab thaa
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
kuchh aur tarah kii mushkil me.n Daalne ke liye
mai.n apnii zindagii aasaan karne vaalaa huu.n
Aftab Hussain
Sher
laakh aaftaab paas se ho kar guzar ga.e
ham baiThe intizaar-e-sahar dekhte rahe
Jigar Moradabadi
Sher
ishq me.n ye majbuurii to ho jaatii hai
duniyaa Gair-zaruurii to ho jaatii hai
Aftab Iqbal Shamim
Sher
abhii dilo.n kii tanaabo.n me.n saKHtiyaa.n hai.n bahut
abhii hamaarii du.aa me.n asar nahii.n aayaa
Aftab Hussain
Sher
hamaaraa daur a.ndhero.n kaa daur hai lekin
hamaare daur kii muTThii me.n aaftaab bhii hai
Kanval Ziai
Sher
Iqbal Sajid
Sher
piirii me.n valvale vo kahaa.n hai.n shabaab ke
ik dhuup thii ki saath ga.ii aaftaab ke
Munshi Khushwaqt Ali Khursheed
Sher
badal rahe hai.n zamaane ke rang kyaa kyaa dekh
nazar uThaa ki ye duniyaa hai dekhne ke liye