SEARCH RESULTS
Showing search results for "aaftaab"
Ghazal MATCHES FOR "aaftaab"
Ghazal
saraktii jaa.e hai ruKH se naqaab aahista aahista
nikaltaa aa rahaa hai aaftaab aahista aahista
Ameer Minai
Ghazal
apnaa misaaliya mujhe ab tak na mil sakaa
zarro.n ko aaftaab banaataa rahaa huu.n mai.n
Jaun Eliya
Ghazal
ga.e dino.n kii laash par pa.De rahoge kab talak
alam-kasho uTho ki aaftaab sar pe aa gayaa
Nasir Kazmi
Ghazal
hame.n charaaG samajh kar bujhaa na paa.oge
ham apne ghar me.n ka.ii aaftaab rakhte hai.n
Rahat Indori
Ghazal
qabaa-e-jism ke har taar se guzartaa hu.aa
kiran kaa pyaar mujhe aaftaab kar degaa
Parveen Shakir
Ghazal
vo naala dil me.n KHas ke baraabar jagah na paa.e
jis naala se shigaaf pa.De aaftaab me.n
Mirza Ghalib
Ghazal
okaa.Da itnii duur na hotaa to ek din
bhar laate saa.ns saa.ns me.n gul aaftaab ke
Adil Mansuri
Ghazal
ab apnii ruuh ke chhaalo.n kaa kuchh hisaab karuu.n
mai.n chaahtaa thaa charaaGo.n ko aaftaab karuu.n
Rahat Indori
Ghazal
jo aaftaab kabhii bhii Guruub hotaa nahii.n
hamaaraa dil hai usii kii shu.aa.e.n bhejii hai.n
Gulzar
Ghazal
savaal ye hai ki raftaar kis kii kitnii hai
mai.n aaftaab se aage nikal ke dekhuu.ngaa
Rahat Indori
Ghazal
Ada Jafarey
Ghazal
mile faqat mire hisse kii raushnii mujh ko
talab kahaa.n hai ko.ii aaftaab mil jaa.e
Jahangeer nayab
Ghazal
agar KHudaa na kare sach ye KHvaab ho jaa.e
tirii sahar ho miraa aaftaab ho jaa.e
Dushyant Kumar
Ghazal
kisii ke nuur ko chu.ndhiyaa ke dekhe.n hairat se
charaaG jugnuu sharar aaftaab phuul-jha.Dii
Shahzad Qais
Ghazal
ahbaab mujh se qat-e-ta.alluq kare.n 'jigar'
ab aaftaab-e-ziist lab-e-baam aa gayaa