SEARCH RESULTS
Showing search results for "aasaar"
Sher MATCHES FOR "aasaar"
Sher
yuu.n to pahle bhii hu.e us se ka.ii baar judaa
lekin ab ke nazar aate hai.n kuchh aasaar judaa
Ahmad Faraz
Sher
zindagii jabr hai aur jabr ke aasaar nahii.n
haa.e is qaid ko zanjiir bhii darkaar nahii.n
Fani Badayuni
Sher
kuchh to hote hai.n mohabbat me.n junuu.n ke aasaar
aur kuchh log bhii diivaana banaa dete hai.n
Zaheer Dehlvi
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
Abbas Qamar
Sher
dekh letaa hai to khilte chale jaate hai.n gulaab
merii miTTii ko KHush-aasaar kiyaa hai us ne
Irfan Siddiqi
Sher
saal-haa-saal se KHaamosh the gahre paanii
ab nazar aa.e hai.n aavaaz ke aasaar mujhe
Zafar Iqbal
Sher
shorish-e-vaqt hu.ii vaqt kii raftaar me.n gum
din guzarte hai.n tire KHvaab ke aasaar me.n gum
Prof. Saeed Ahmad
Sher
Figar Unnavi
Sher
miT jaane ke aasaar viraasat me.n mile hai.n
girte dar-o-diivaar viraasat me.n mile hai.n
Javed Naseemi
Sher
sunte hai.n ki aabaad yahaa.n thaa ko.ii kumba
aasaar bhii kahte hai.n yahaa.n par ko.ii ghar thaa
Mohsin Zaidi
Sher
ik nuuh nahii.n jo hame.n kashtii me.n biThaa le
varna kisii tuufaan ke aasaar to sab hai.n
Qamar Raees
Sher
kuchh milte hai.n ab puKHtagi-e-ishq ke aasaar
naalo.n me.n rasaa.ii hai na aaho.n me.n asar hai
Asghar Gondvi
Sher
vo jo ik tolaa ka.ii maasha thii yaarii tum se
rattii bhar bhii na rahaa is me.n kuchh aasaar kahii.n
nayan sukh
Sher
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii hai
par nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii hai
Allama Iqbal
Sher
halqa-e-dil se na niklo ki sar-e-khuucha-e-KHaak
aish jitne hai.n isii kunj-e-kam-aasaar me.n hai.n
Arshad Abdul Hamid
Sher
log kahte hai.n mohabbat me.n asar hotaa hai
kaun se shahr me.n hotaa hai kidhar hotaa hai