SEARCH RESULTS
Showing search results for "aatish-e-namruud"
Sher MATCHES FOR "aatish-e-namruud"
Sher
be-KHatar kuud pa.Daa aatish-e-namruud me.n ishq
aql hai mahv-e-tamaashaa-e-lab-e-baam abhii
Allama Iqbal
Sher
zabaa.n pe shikva-e-be-mehrii-e-KHudaa kyuu.n hai?
du.aa to maa.ngiye 'aatish' kabhii du.aa kii tarah
Aatish Bahawalpuri
Sher
KHuugar-e-lazzat-e-aazaar thaa itnaa 'aatish'
dard bhii maa.ngaa to pahle se sivaa maa.ngaa thaa
Aatish Bahawalpuri
Sher
aatish-e-mast jo mil jaa.e to puuchhuu.n us se
tuu ne kaifiyyat uThaa.ii hai KHaraabaat me.n kyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
bandish-e-alfaaz ja.Dne se nago.n ke kam nahii.n
shaa.irii bhii kaam hai 'aatish' murassa-saaz kaa
Haidar Ali Aatish
Sher
kufr o islaam kii kuchh qaid nahii.n ai 'aatish'
shaiKH ho yaa ki barhaman ho par insaa.n hove
Haidar Ali Aatish
Sher
vahii pastii o bulandii hai zamii.n kii aatish
vahii gardish me.n shab o roz hai.n aflaak hanuuz
Haidar Ali Aatish
Sher
Haidar Ali Aatish
Sher
ye taaj ke saa.e me.n zar-o-siim ke KHirman
kyuu.n aatish-e-kashkol-e-gadaa se nahii.n Darte
Parvez Shahidi
Sher
sub.h-dam sehn-e-gulistaa.n me.n sabaa ke jho.nke
aatish-e-dard-e-mohabbat ko havaa dete hai.n
Nayyar Wasti
Sher
lamha-e-imkaan ko pahluu badalte dekhnaa
aatish-e-be-ra.ng me.n KHud ko pighalte dekhnaa
Tanveer Anjum
Sher
kyuu.n mujh ko nazr-e-aatish-e-ehsaas kar diyaa
kyuu.n jaan Daal kar mirii miTTii KHaraab kii
Habeeb Amrohvi
Sher
na puuchh sher hai kyaa chiiz mujh se ai hamdam
mizaaj-e-aatish-e-sozaa.n lataafat-e-shabnam
Izhaar Malihabadi
Sher
ba.Dhte ba.Dhte aatish-e-ruKHsaar lau dene lagii
rafta rafta kaan ke motii sharaare ho ga.e
Taashshuq Lakhnavi
Sher
raushan jamaal-e-yaar se hai anjuman tamaam
dahkaa hu.aa hai aatish-e-gul se chaman tamaam