SEARCH RESULTS
Showing search results for "adaa-e-naaz"
Sher MATCHES FOR "adaa-e-naaz"
Sher
adaa-o-naaz kaa us ke kabhii javaab na thaa
vo jab bhii fitna thaa jab aalam-e-shabaab na thaa
Mah Lakhnavi
Sher
adaa-o-naaz o karishma jafaa-o-jaur-o-sitam
udhar ye sab hai.n idhar ek merii jaa.n tanhaa
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
aamaada-e-karam hai ye kis kii nigaah-e-naaz
dil shikva-e-sitam se pashemaa.n hai aaj kyo.n
Ada Jafarey
Sher
shaayad kisii ne yaad kiyaa hai hame.n 'adaa'
kyo.n varna ashk maa.il-e-tuufaa.n hai aaj phir
Ada Jafarey
Sher
Ada Jafarey
Sher
KHalvat-e-naaz me.n kuchh aur hii raunaq hotii
ko.ii KHalvat me.n agar anjuman-aaraa hotaa
Nazneen Begum Naz
Sher
miTaa miTaa saa tasavvur hai naaz maazii kaa
hayaat-e-nau hai ab is umr-e-raa.egaa.n se gurez
Nazneen Begum Naz
Sher
thaa jis pe naaz kabhii ab vo aarzuu na rahii
niyaaz-e-'ishq kii pahlii sii aabruu na rahii
A. D. Azhar
Sher
S A Mehdi
Sher
rusvaa agar na karnaa thaa aalam me.n yuu.n mujhe
aisii nigaah-e-naaz se dekhaa thaa kyuu.n mujhe
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
ye adaa-e-be-niyaazii tujhe bevafaa mubaarak
magar aisii be-ruKHii kyaa ki salaam tak na pahu.nche
Shakeel Badayuni
Sher
ai tarah-daar-e-ishva-taraaz-e-dayaar-e-naaz
ruKHsat hu.aa huu.n tere liye dil-galii se mai.n
Jaun Eliya
Sher
ghar-ba-ghar hai vo mast-e-ishva-o-naaz
dar-ba-dar ham KHaraab hote hai.n