SEARCH RESULTS
Showing search results for "aivaan"
Sher MATCHES FOR "aivaan"
Sher
aaj kii shaam guzaare.nge ham chhatrii me.n
baarish hogii KHabre.n sun kar aayaa huu.n
Iliyas Babar Aawan
Sher
ham bhii 'Gaalib' kii tarah kuucha-e-jaanaa.n se 'asad'
na nikalte to kisii roz nikaale jaate
Asad Awan
Sher
taKHliiq a.ndhero.n se kiye ham ne ujaale
har shab ko ik aivaan-e-sahar ham ne banaayaa
Saghar Nizami
Sher
KHud-baKHud chho.D ga.e hai.n to chalo Thiik hu.aa
itne ahbaab kahaa.n ham se sa.nbhaale jaate
Asad Awan
Sher
dil kii buniyaad pe ta.amiir kar aivaan-e-hayaat
qasr-e-shaahii to zaraa der me.n Dah jaate hai.n
Figar Unnavi
Sher
umr-bhar maa.n kii nasiihat pe zamaane me.n 'asad'
faatima-zehraa ke bachcho.n se vafaadaarii kii
Asad Awan
Sher
Haneef akhgar
Sher
jo apne zo'm me.n rahte hai.n aise logo.n ko
nazar me.n rakhte hai.n dil se utaar dete hai.n
Asad Awan
Sher
bach-bach ke terii raah se chalnaa to thaa mujhe
tuu jo badal gayaa hai badalnaa to thaa mujhe
Asad Awan
Sher
is mohabbat ne hame.n jo.D diyaa aapas me.n
varna ham dono.n kaa ik jaisaa aqiida to na thaa
Asad Awan
Sher
'Gaalib' ke martabe se ye vaaqif nahii.n 'asad'
ye bad-lihaaz nasl hai ahd-e-jadiid kii
Asad Awan
Sher
zhaala-baarii bhii rahii dhuup bhii thii baarish bhii
terii yaado.n ke ilaaqe me.n ye manzar dekhe
Asad Awan
Sher
lab pe ik harf-e-tamannaa hai gadaa.ii to nahii.n
ye mirii apnii kamaa.ii hai paraa.ii to nahii.n
Asad Awan
Sher
chup-chaap apne yaar kii dahliiz par mare
duniyaa kahegii ham bhii kisii chiiz par mare