SEARCH RESULTS
Showing search results for "an-bujhe"
Sher MATCHES FOR "an-bujhe"
Sher
charaaG un pe jale the bahut havaa ke KHilaaf
bujhe bujhe hai.n tabhii aaj baam-o-dar mere
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sher
tishnagii KHaak bujhe ashk kii tuGyaanii se
ain barsaat me.n big.De hai mazaa paanii kaa
Shah Naseer
Sher
jo tere Gam me.n jale hai.n vo phir bujhe hii nahii.n
jab in kii raakh kuredo sharaare zinda hai.n
Ram Riyaz
Sher
kartaa hai kaar-e-raushnii mujh ko jalaa ke din
kartii hai kaar-e-tiirgii mujh ko bujhaa ke raat
Ain Irfan
Sher
ishq par zor nahii.n hai ye vo aatish 'Gaalib'
ki lagaa.e na lage aur bujhaa.e na bane
Mirza Ghalib
Sher
yahii hai rasm-e-zamaana to phir gila kaisaa
ko.ii jalaa.e charaaGo.n ko aur bujhaa.e ko.ii
Qasri Kanpuri
Sher
laakho.n hii baar bujh ke jalaa dard kaa diyaa
so ek baar aur bujhaa phir jalaa nahii.n
Rais Farogh
Sher
kal raat jo ii.ndhan ke liye kaT ke giraa hai
chi.Diyo.n ko bahut pyaar thaa us buu.Dhe shajar se
Parveen Shakir
Sher
kaise bujhaa.e.n kaun bujhaa.e bujhe bhii kyuu.n
is aag ko to KHuun me.n hal kar diyaa gayaa
Sarwat Zehra
Sher
aap hii aap diye bujhte chale jaate hai.n
aur aaseb dikhaa.ii bhii nahii.n detaa hai
Razi Akhtar Shauq
Sher
charaaG andar kii saazisho.n se bujhe hu.e hai.n
aur is kaa ilzaam bhii havaa par chalaa gayaa hai
Badr Muneer
Sher
bujh ga.ii kuchh is tarah sham-e-'salaam'
jaise ik biimaar achchhaa ho gayaa
Salam Machhli shahri
Sher
bujhaa hai dil to na samjho ki bujh gayaa Gam bhii
ki ab charaaG ke badle charaaG kii lau hai
Shamim Karhani
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
bujh chale hai.n saare yaado.n ke charaag
ab charaaGo.n kaa dhu.aa.n hai aur ham