SEARCH RESULTS
Showing search results for "arsa"
Sher MATCHES FOR "arsa"
Sher
ek muddat se tirii yaad bhii aa.ii na hame.n
aur ham bhuul ga.e ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
arsa hu.aa kisii ne pukaaraa nahii.n mujhe
shaayad kisii ko merii zaruurat nahii.n rahii
Bushra Hashmi
Sher
in parii-ruuyo.n kii aisii hii agar kasrat rahii
tho.De arsa me.n paristaa.n aagara ho jaa.egaa
Aagha Akbarabadi
Sher
har shai ko intihaa hai yaqii.n hai ki vasl ho
arsa bahut khi.nchaa hai mirii intizaar kaa
Anwar Dehlvi
Sher
Hamida Shaheen
Sher
kuchh is qadar nahii.n safar-e-hastii-o-adam
gar paa.nv uThaa.iye to ye arsa hai do qadam
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
buriida-sar ko sajaa de fasiil-e-neza par
dariida jism ko phir arsa-e-qitaal me.n rakh
Shahid Kamal
Sher
'arsa hu.aa hai un se mulaaqaat hii nahii.n
gujraat lag rahaa hai ki gujraat hii nahii.n
Ashfaq Shaheen
Sher
gulaab-rut kii tarah 'arsa-e-jamaal me.n aa
havaa-e-Gam se nikal mausam-e-visaal me.n aa
Anjum Farooq
Sher
aa.iina kyuu.n na duu.n ki tamaashaa kahe.n jise
aisaa kahaa.n se laa.uu.n ki tujh saa kahe.n jise
Mirza Ghalib
Sher
baare duniyaa me.n raho Gam-zada yaa shaad raho
aisaa kuchh kar ke chalo yaa.n ki bahut yaad raho
Meer Taqi Meer
Sher
jahaa.n me.n hone ko ai dost yuu.n to sab hogaa
tire labo.n pe mire lab ho.n aisaa kab hogaa
Shahryar
Sher
Hafeez Jalandhari
Sher
tire va.ado.n pe kahaa.n tak miraa dil fareb khaa.e
ko.ii aisaa kar bahaana mirii aas TuuT jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Sher
dard aisaa hai ki jii chaahe hai zinda rahiye
zindagii aisii ki mar jaane ko jii chaahe hai
Kaleem Aajiz
Sher
baarish sharaab-e-arsh hai ye soch kar 'adam'
baarish ke sab huruuf ko ulTaa ke pii gayaa