SEARCH RESULTS
Showing search results for "aruus-e-ajal"
Sher MATCHES FOR "aruus-e-ajal"
Sher
shaaKHo.n se barg-e-gul nahii.n jha.Dte hai.n baaG me.n
zevar utar rahaa hai uruus-e-bahaar kaa
Ameer Minai
Sher
zamaane se niraalaa hai uruus-e-fikr kaa jauban
javaa.n hotii hai ai 'tasliim' jab ye piir hotii hai
Munshi Amirullah Tasleem
Sher
ri.aayat chaahiye aisii ki zebaa.ii ho ma.anii kii
uruus-e-sher kaa ai 'bahr' zevar ho to aisaa ho
Imdad Ali Bahr
Sher
zindagii jin ke tasavvur se jilaa paatii thii
haa.e kyaa log the jo daam-e-ajal me.n aa.e
Nasir Kazmi
Sher
ai ajal ek din aaKHir tujhe aanaa hai vale
aaj aatii shab-e-furqat me.n to ehsaa.n hotaa
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
Abdul Hamid Adam
Sher
isii qadar hai hayaat o ajal ke biich kaa farq
ye ek dhuup kaa dariyaa vo ik kinaara-e-shaam
Ain Tabish
Sher
tujhe bhii dekh liyaa ham ne o KHudaa-e-ajal
ki teraa zor chalaa bhii to ahl-e-Gam pe chalaa
Jafar Tahir
Sher
khaa.iye ye zahar kab tak khaa.e jaatii hai ye ziist
ai ajal kab tak rahe.nge rahn-e-aab-o-daana ham
Natiq Gulavthi
Sher
mujhe na Dar hai qayaamat kaa ab na KHauf-e-ajal
mai.n dard-e-tark-e-mulaaqaat sah ke aaya huu.n
Amit Goswami
Sher
'ajmal'-siraaj ham use bhuul hu.e to hai.n
kyaa jaane kyaa kare.nge agar yaad aa gayaa
Ajmal Siraj
Sher
mai.n ek sham-e-sar-e-rah-guzaar huu.n 'ajmal'
na jaane kis liye mujh ko bujhaanaa chaahtaa hai
Naseem Ajmal
Sher
rah-e-hayaat me.n laakho.n the ham-safar 'ejaaz'
kisii ko yaad rakhaa aur kisii ko bhuul ga.e
Ejaaz Ahamd
Sher
Asghar Gondvi
Sher
musta.id huu.n tire zulfo.n kii siyaahii le kar
safha-e-naama-e-aamaal kuu.n kaalaa karne