SEARCH RESULTS
Showing search results for "arz-e-talab"
Sher MATCHES FOR "arz-e-talab"
Sher
Malikzaada Manzoor Ahmad
Sher
lahuu hii kitnaa hai jo chashm-e-tar se niklegaa
yahaa.n bhii kaam na arz-e-hunar se niklegaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahii.n rahaa
jis dil pe naaz thaa mujhe vo dil nahii.n rahaa
Mirza Ghalib
Sher
ik tarz-e-taGaaful hai so vo un ko mubaarak
ik arz-e-tamannaa hai so ham karte rahe.nge
Faiz Ahmad Faiz
Sher
unhii.n ko arz-e-vafaa kaa thaa ishtiyaaq bahut
unhii.n ko arz-e-vafaa naa-gavaar guzrii hai
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
mire lahuu ko mirii KHaak-e-naaguziir ko dekh
yuu.nhii saliiqa-e-arz-e-hunar nahii.n aayaa
Sahar Ansari
Sher
ye sahn-e-arz-e-haram hai ba-ehtiyaat qadam
bahut qariib KHudaa hai zaraa sa.nbhal ke chalo
adil zaidi
Sher
Jaun Eliya
Sher
KHiraaj maa.ng rahii hai vo shaah-baanu-e-shahr
so ham bhii hadiya-e-dast-e-talab guzaarte hai.n
Irfan Siddiqi
Sher
us kii muTThii me.n javaahir the nazar merii taraf
aur mujhe pairaaya-e-arz-e-hunar aataa na thaa
Anees Ashfaq
Sher
rah-e-talab me.n kise aarzuu-e-manzil hai
shu.uur ho to safar KHud safar kaa haasil hai
Ghulam Rabbani Taban
Sher
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
chup-chaap apnii aag me.n jalte raho 'faraaz'
duniyaa to arz-e-haal se be-aabruu kare