SEARCH RESULTS
Showing search results for "aslaaf"
Sher MATCHES FOR "aslaaf"
Sher
zikr-e-aslaaf se behtar hai ki KHaamosh rahe.n
kal na.ii nasl me.n ham log bhii buu.Dhe ho.nge
Hosh Jaunpuri
Sher
paa.nv zaKHmii hu.e aur duur hai manzil 'vaasif'
KHuun-e-aslaaf kii azmat ko jagaa luu.n to chaluu.n
Wasif Dehlvi
Sher
maa.n baap aur ustaad sab hai.n KHudaa kii rahmat
hai rok-Tok un kii haq me.n tumhaare ne.amat
Altaf Hussain Hali
Sher
farishte se ba.Dh kar hai insaan ban.naa
magar is me.n lagtii hai mehnat ziyaada
Altaf Hussain Hali
Sher
ham jis pe mar rahe hai.n vo hai baat hii kuchh aur
aalam me.n tujh se laakh sahii tuu magar kahaa.n
Altaf Hussain Hali
Sher
aa.nkhe.n dikhlaate ho joban to dikhaa.o saahab
vo alag baa.ndh ke rakkhaa hai jo maal achchhaa hai
Ameer Minai
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
sadaa ek hii ruKH nahii.n naav chaltii
chalo tum udhar ko havaa ho jidhar kii
Altaf Hussain Hali
Sher
hotii nahii.n qubuul du.aa tark-e-ishq kii
dil chaahtaa na ho to zabaa.n me.n asar kahaa.n
Altaf Hussain Hali
Sher
sunte rahe hai.n aap ke ausaaf sab se ham
milne kaa aap se kabhii mauqa.a nahii.n milaa
Nooh Narvi
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
garmii lagii to KHud se alag ho ke so ga.e
sardii lagii to KHud ko dobaara pahan liyaa
Bedil Haidri
Sher
tujhe manaa.uu.n ki apnii anaa kii baat sunuu.n
ulajh rahaa hai mire faislo.n kaa resham phir
Parveen Shakir
Sher
bahut jii KHush hu.aa 'haalii' se mil kar
abhii kuchh log baaqii hai.n jahaa.n me.n
Altaf Hussain Hali
Sher
Rahat Indori
Sher
dil saaf ho kis tarah ki insaaf nahii.n hai
insaaf ho kis tarah ki dil saaf nahii.n hai
Mirza Salaamat Ali Dabeer
Sher
tuu badaltaa hai to be-saaKHta merii aa.nkhe.n
apne haatho.n kii lakiiro.n se ulajh jaatii hai.n
Parveen Shakir
Sher
hai justujuu ki KHuub se hai KHuub-tar kahaa.n
ab Thahartii hai dekhiye jaa kar nazar kahaa.n