SEARCH RESULTS
Showing search results for "aslaaf"
Ghazal MATCHES FOR "aslaaf"
Ghazal
meraa aslaaf se rishta to na to.D ai duniyaa
sab mahal tere hai.n lekin ye kha.nDar meraa hai
Meraj Faizabadi
Ghazal
kuchh to rahe aslaaf kii tahziib kii KHushbuu
Topii hii lagaa liijiye dastaar nahii.n to
Iftikhar Raghib
Ghazal
Ambar Bahraichi
Ghazal
ham kahaa.n azmat aslaaf sambhaale hu.e hai.n
bas tire ishq se maathe ko ujaale hu.e hai.n
Mumtaz Gurmani
Ghazal
aslaaf ke aqdaar ko apnaayaa hai jis ne
pastii me.n rahaa phir bhii vo aflaak hu.aa hai
zafar iqbal zafar
Ghazal
dar pe rahne de mujhe TaaT kaa parda hii sahii
tere aslaaf kaa chho.Daa hu.aa kirdaar huu.n mai.n
Hamid Mukhtar Hamid
Ghazal
apne aslaaf kii taa'liim hii kuchh aisii hai
azm-o-himmat ko jo paspaa nahii.n hone detii
Husain Khan Jhanjhat
Ghazal
maqsuud nahii.n nasl kii islaah agar ho
aslaaf ke ausaaf bataa kyuu.n nahii.n dete
Kaukab Zaki
Ghazal
aslaaf ke nuquush kitaabo.n me.n band hai.n
baazaar se kisii kii shabaahat KHariidiye
Hafeez Momin
Ghazal
paa.nv zaKHmii hu.e aur duur hai manzil 'vaasif'
KHuun-e-aslaaf kii azmat ko jagaa luu.n to chaluu.n
Wasif Dehlvi
Ghazal
mire aslaaf saa ko.ii amaanat-daar hai 'saabir'
agar masraf ho zaatii to diyaa raushan nahii.n miltaa
Sabir Shah Sabir
Ghazal
taaj rakkhe hu.e jab dekhe ajaa.ib ghar me.n
saath un ke mujhe aslaaf kaa sar lagtaa hai
Raza Rampuri
Ghazal
ye mire aslaaf kii meraaj-e-ulfat thii ki jo
tez-rau dariyaa rukaa dariyaa me.n rasta ho gayaa
Sabeeha Farhat Sambhali
Ghazal
asar qubuul hai mujh ko badaltii qadro.n kaa
rag-e-hayaat me.n aslaaf kaa lahuu hii sahii
Saba Naqvi
Ghazal
ab to adab baraa.e-adab bhii adab nahii.n
aslaaf kaa vo daur-e-adab yaad aa gayaa
Mohammad Ali Shadan
Ghazal
rone kaa saliiqa mujhe aslaaf ne baKHshaa
ye maatamii aa.nkhe.n mujhe virse me.n milii hai.n
Anamta Ali
Ghazal
'afshaa.n' kahaa.n se laa.e.n vo aslaaf kaa KHuluus
taariiKH kii kitaab hii niilaam ho ga.ii