SEARCH RESULTS
Showing search results for "audible"
Sher MATCHES FOR "audible"
Sher
mere TuuTe hausle ke par nikalte dekh kar
us ne diivaaro.n ko apnii aur uu.nchaa kar diyaa
Adil Mansuri
Sher
vo kaun thaa jo din ke ujaale me.n kho gayaa
ye chaa.nd kis ko Dhuu.nDne niklaa hai shaam se
Adil Mansuri
Sher
jahaa.n pahu.nch ke qadam Dagmagaa.e hai.n sab ke
usii maqaam se ab apnaa raastaa hogaa
Aabid Adeeb
Sher
safar me.n aise ka.ii marhale bhii aate hai.n
har ek mo.D pe kuchh log chhuuT jaate hai.n
Aabid Adeeb
Sher
ajiib hote hai.n aadaab-e-ruKHsat-e-mahfil
ki vo bhii uTh ke gayaa jis kaa ghar na thaa ko.ii
Sahar Ansari
Sher
jiitaa hai sirf tere liye kaun mar ke dekh
ik roz merii jaan ye harkat bhii kar ke dekh
Adil Mansuri
Sher
kyuu.n chalte chalte ruk ga.e viiraan raasto
tanhaa huu.n aaj mai.n zaraa ghar tak to saath do
Adil Mansuri
Sher
mujhe pasand nahii.n aise kaarobaar me.n huu.n
ye jabr hai ki mai.n KHud apne iKHtiyaar me.n huu.n
Adil Mansuri
Sher
dariyaa ke kinaare pe mirii laash pa.Dii thii
aur paanii kii tah me.n vo mujhe Dhuu.nD rahaa thaa
Adil Mansuri
Sher
kab tak pa.De rahoge havaa.o.n ke haath me.n
kab tak chalegaa khokhle shabdo.n kaa kaarobaar
Adil Mansuri
Sher
jab ishq sikhaataa hai aadaab-e-KHud-aagaahii
khulte hai.n Gulaamo.n par asraar-e-shahanshaahii
Allama Iqbal
Sher
baaqii hai ab bhii tark-e-tamannaa kii aarzuu
kyuu.nkar kahuu.n ki ko.ii tamannaa nahii.n mujhe