SEARCH RESULTS
Showing search results for "ayaag"
Sher MATCHES FOR "ayaag"
Sher
ilaahii chashm-e-bad us se tuu duur hii rakhiyo
ki mast saKHt huu.n mai.n aur ayaaG naazuk-tar
Raza Azimabadi
Sher
har-chand sher o shauq kii buniyaad hai junuu.n
chaltaa nahii.n hai kaam KHirad ke baGair bhii
Sardar Ayagh
Sher
aa.nkhe.n dikhlaate ho joban to dikhaa.o saahab
vo alag baa.ndh ke rakkhaa hai jo maal achchhaa hai
Ameer Minai
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
garmii lagii to KHud se alag ho ke so ga.e
sardii lagii to KHud ko dobaara pahan liyaa
Bedil Haidri
Sher
Rahat Indori
Sher
jo pa.Dhaa hai use jiinaa hii nahii.n hai mumkin
zindagii ko mai.n kitaabo.n se alag rakhtaa huu.n
Zafar Sahbai
Sher
tumhe.n to naaz bahut dosto.n pe thaa 'jaalib'
alag-thalag se ho kyaa baat ho ga.ii pyaare
Habib Jalib
Sher
sab kii apnii manzile.n thii.n sab ke apne raaste
ek aavaara phire ham dar-ba-dar sab se alag
Sarmad Sahbai
Sher
ye alag baat ki vo dil se kisii aur kaa thaa
baat to us ne hamaarii bhii ba-zaahir rakkhii
Zafar Ajmi
Sher
ye alag baat ki mai.n nuuh nahii.n thaa lekin
mai.n ne kashtii ko Galat samt me.n bahne na diyaa
Azhar Inayati
Sher
Gair se duur magar us kii nigaaho.n ke qarii.n
mahfil-e-yaar me.n is Dhab se alag baiThaa huu.n
Peer Nasiruddin Shah Naseer
Sher
mai.n apne aap me.n gahraa utar gayaa shaayad
mire safar se alag ho ga.ii ravaanii mirii
Abbas Tabish
Sher
raushnii KHud bhii charaaGo.n se alag rahtii hai
dil me.n jo rahte hai.n vo dil nahii.n hone paate
Saba Akbarabadi
Sher
jaise do mulko.n ko ik sarhad alag kartii hu.ii
vaqt ne KHat aisaa khii.nchaa mere us ke darmiyaa.n
Mohsin Zaidi
Sher
umr bhar sa.ng-zanii karte rahe ahl-e-vatan
ye alag baat ki dafnaa.e.nge e.azaaz ke saath