SEARCH RESULTS
Showing search results for "ba-aavaaz-e-buland"
Sher MATCHES FOR "ba-aavaaz-e-buland"
Sher
raat din naaquus kahte hai.n ba-aavaaz-e-buland
dair se behtar hai kaaba gar buto.n me.n tuu nahii.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
andaaz huu-ba-huu tirii aavaaz-e-paa kaa thaa
dekhaa nikal ke ghar se to jho.nkaa havaa kaa thaa
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
Haneef akhgar
Sher
vo ek Duubtii aavaaz-e-baaz-gasht ki aa
savaal mai.n ne kiyaa thaa javaab mai.n ne diyaa
Abul Hasanat Haqqi
Sher
bas ki hai pesh-e-nazar past-o-buland-e-aalam
Thokare.n khaa ke mirii aa.nkho.n me.n KHvaab aataa hai
Muneer Shikohabadi
Sher
Naji Shakir
Sher
ek aavaaz to guu.njii thii ufuq-taa-ba-ufuq
kaarvaa.n gum hai kahaa.n gard-e-safar se puuchho
Anwar Moazzam
Sher
saa.at-e-iisviyaa.n hai ki miraa dil jis me.n
KHud-ba-KHud choT lagii KHud-ba-KHud aavaaz hu.ii
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
hai kis kaa intizaar ki KHvaab-e-adam se bhii
har baar chau.nk pa.Dte hai.n aavaaz-e-paa ke saath
Momin Khan Momin
Sher
Saleem Ahmed
Sher
be-tesha-e-nazar na chalo raah-e-raftagaa.n
har naqsh-e-paa buland hai diivaar kii tarah
Majrooh Sultanpuri
Sher
har shaKHs yahaa.n gumbad-e-be-dar kii tarah hai
aavaaz pe aavaaz do suntaa nahii.n ko.ii
Mohsin Zaidi
Sher
mai.n ne jab pahle-pahal apnaa vatan chho.Daa thaa
duur tak mujh ko ik aavaaz bulaane aa.ii
Kaif Bhopali
Sher
al-madad ai jazba-e-zauq-e-mohabbat al-madad
ishq ne aavaaz dii be-iKHtiyaaraana mujhe
Sohail Azeemabadi
Sher
avval to be-vafaa.o.n kii arvaah khii.nchtaa
maut-o-hayaat hotii agar iKHtiyaar me.n