SEARCH RESULTS
Showing search results for "ba-harzah"
Sher MATCHES FOR "ba-harzah"
Sher
gum to honaa thaa ba-har-haal kisii manzar me.n
dil hu.aa KHvaab me.n gum aa.nkh hu.ii aab me.n gum
Akram Mahmud
Sher
mai.n sochtaa rahtaa huu.n ba-har-haal ki kyaa thaa
aa.nkho.n me.n tirii meraa jahaa.n hone se pahle
Amaan Abbas
Sher
ba-ra.ng-e-buu-e-gul us baaG ke ham aashnaa hote
ki hamraah-e-sabaa Tuk sair karte phir havaa hote
Meer Taqi Meer
Sher
be-aarzuu bhii KHush hai.n zamaane me.n baaz log
yaa.n aarzuu ke saath bhii jiinaa haraam hai
Shuja Khaavar
Sher
dayaar-e-ishq me.n ye mas.ala hai muftaa-bih
ba-juz haraam kii raGbat ke kuchh halaal nahii.n
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
vo kahii.n bhii gayaa lauTaa to mire paas aayaa
bas yahii baat hai achchhii mire harjaa.ii kii
Parveen Shakir
Sher
fasl-e-bahaar sehn-e-chaman yaar-e-mai-ba-kaf
kyuu.n zaahido haraam hai piinaa sharaab kaa
Abdul Wadood Uhad
Sher
ba-sad adaa-e-dilbarii hai iltijaa-e-mai-kashii
ye hosh ab kise ki mai haraam yaa halaal hai
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
tuu ruu-ba-ruu ho to ai ruu-e-yaar tujh se kahe.n
vo harf-e-Gam ki hariif-e-Gam-e-zamaanaa hai
Mahmood Ayaz
Sher
Akhlaq Ahmad Ahan
Sher
Salim Saleem
Sher
kabhii ham se kabhii Gairo.n se shanaasaa.ii hai
baat kahne kii nahii.n tuu bhii to harjaa.ii hai
Allama Iqbal
Sher
vo terii bhii to pahlii mohabbat na thii 'qatiil'
phir kyaa hu.aa agar vo bhii harjaa.ii ban gayaa
Qateel Shifai
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
tire suluuk kaa Gam sub.h-o-shaam kyaa karte
zaraa sii baat pe jiinaa haraam kyaa karte
Rais Siddiqui
Sher
ye sahn-e-arz-e-haram hai ba-ehtiyaat qadam
bahut qariib KHudaa hai zaraa sa.nbhal ke chalo
adil zaidi
Sher
ahl-e-haram se kah do ki big.Dii nahii.n hai baat
sab ri.nd jaante hai.n abhii paarsaa mujhe
Riyaz Khairabadi
Sher
shaiKH-ul-haram mo.azzin dono.n chalan ke bad hai.n
ye sub.h-KHeziyaa to vo hai aThaa.ii-giiraa