SEARCH RESULTS
Showing search results for "ba-zid"
Sher MATCHES FOR "ba-zid"
Sher
fankaar ba-zid hai ki lagaa.egaa numaa.ish
mai.n huu.n ki har ik zaKHm chhupaane me.n lagaa huu.n
Akbar Hameedi
Sher
vo saa.Dii jewellery ke tahaa.if pe thii ba-zid
ham sau ruupe kii shaal se aage nahii.n ga.e
Aziz Faisal
Sher
Wamiq Jaunpuri
Sher
zid kii hai aur baat magar KHuu burii nahii.n
bhuule se us ne saik.Do.n va.ade vafaa kiye
Mirza Ghalib
Sher
ban ga.e insaan apnii zaat me.n jangal 'muniir'
bastiyo.n se u.D ga.ii hai buu-e-aadam-zaad tak
Badr Muneer
Sher
khi.Dkii to 'shaaz' band mai.n kartaa huu.n baar baar
lekin havaa-e-shauq ki zid par a.Dii rahe
Zakariya Shaz
Sher
lakiir khii.nch ke baiThii hai tishnagii mirii
bas ek zid hai ki dariyaa yahii.n pe aa.egaa
Alam Khursheed
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
ba-du.aa apne liye kii to bahut thii mai.n ne
haa.n magar raah me.n haa.il jo du.aa thii terii
Zia Zameer
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
maanaa ki zindagii me.n hai zid kaa bhii ik maqaam
tum aadmii ho baat to sun lo KHudaa nahii.n
Aziz Hamid Madni
Sher
ko.ii to zid me.n ye aa kar kabhii kahe ham se
ye baat yuu.n nahii.n aise thii yuu.n hu.aa hogaa
Fay Seen Ejaz
Sher
zi-bas KHuun-e-Galiiz aa.nkho.n se aayaa
hu.ii.n aaKHir baham mizhgaan-e-tar band
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ab ban ke falak-zaad dikhaate hai.n hame.n aa.nkh
zarre vahii kal jin ko uchhaalaa thaa hamii.n ne
Anand Narayan Mulla
Sher
iz.haar naa-rasaa sahii vo suurat-e-jamaal
aa.iina-e-KHayaal me.n bhii huu-ba-huu na thii
Zia Jalandhari
Sher
unhe.n ye zom ki be-suud hai sadaa-e-suKHan
hame.n ye zid ki isii haa.o-huu me.n phuul khile